waiz4u Shayari: April 2014 expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Wednesday, April 9, 2014

Us jaan-e-tagaful ne fir yaad kiya shayad

Us jaan-e-tagaful ne fir yaad kiya shayad,

    Fir ahad-e-muhabbat ka har naqsh ubhar aaya...





Inkaar ki ye lazzat iqraar meiN kahaaN,



Inkaar ki ye lazzat iqraar meiN kahaaN,                              

 Bhadhta hai shauq "Ghalib" unki naheeN-naheeN se





Tuesday, April 8, 2014

Muhabbat mausam naheeN

Muhabbat mausam naheeN hai ki,apni muddat poori kare aur rukhsat ho jaye..

 Muhabbat sawan naheeN hai,toot kar barse aur tham jaye,

Muhabbat aag naheeN hai, sulge, bhadke aur bujh jaaye,

Muhabbat aaftab naheeN, ubhre, chamke aur tham jaye,

Muhabbat to Chaand ke maanind hai...

Jo badhta hai,ghat-ta hai, nikalta hai, chadhta hai,

 Magar firbhi fanaa naheeN hota....