मेरे ख्यालों की रहगुज़र से
वो देखिये वो गुज़र रहे हैं
मेरी निगाहों के आसमान
ज़मीन-इ-दिल पर उतर रहे हैं
ये कैसे मुमकिन है हमनशीनो
के दिल को दिल की ख़बर न पहुंचे
उन्हें भी हम याद आते होंगे
के जिनको हम याद कर रहे हैं
तुम्हारे ही दम कदम से थी
जिनकी मौत और ज़िन्दगी अबारात
बिछड़ के तुमसे वो नामुराद अब
न जी रहे हैं न मर रहे हैं
इसी मुहब्बत की रोज़ शब् हम
सुनाया करते थे दस्ताने
इसी मुहब्बत का नाम लेते हुए भी
हम आज डर रहे हैं
चले हैं थोड़ी ही दूर तक बस
वो साथ मेरे 'सलीम' फिर भी
ये बात कैसे मैं भूल जाऊं
के हम कभी हमसफ़र रहे हैं.
Mere KhayaloN Ki Rehguzar Se
Wo Dekhiye Wo Guzar Rahe HaiN
Meri NigaahoN Ke AasmaaN Se
Zameen-E-Dil Par Utar Rahe HaiN
Ye Kaise Mumkin Hai Humnasheeno
Ke Dil Ko Dil Ki Kabar Na Pahunche
Unhe Bhi Hum Yaad Aate Honge
Ke Jinko Hum Yaad Kar Rahe HaiN
Tumhare Hi Dum Kadam Se Thi
Jinki Maut Aur Zindagi Abaarat
Bichhad Ke Tumse Wo Namuraad Ab
Na Jee Rahe HaiN Na Mar Rahe HaiN
Isi Muhabbat Ki Roz Shab Hum
Sunaya Karte The Dastaane
Isi Muhabbat Ka Naam Lete Huye Bhi
Hum Aaj Dar Rahe HaiN
Chale HaiN Thodi Hi Door Tak Bas
Wo Saath Mere 'Salim' Phir Bhi
Ye Baat Kaise MaiN Bhool JaooN
Ke Hum Kabhi Humsafar Rahe HaiN.
No comments:
Post a Comment