waiz4u Shayari: Teri khushbu ka pata karti hai-Parveen Shakir Ghazal expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Teri khushbu ka pata karti hai-Parveen Shakir Ghazal







Teri khushbu ka pata karti hai
Mujh pe ehsan hawa karti hai
Shab ki tanhai maiN ab to aksar
Guftagu tujh se raha karti hai
Dil ko us rah pe chalna hi nahiN
Jo mujhe tujh se juda karti hai
Zindagi meri thi lekin ab to
Tere kahne main raha karti hai
Us ne dekha hi nahin warna ye ankh
Dil ka ehwal kaha karti hai
Beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
Ret par naam likha karti hai
Sham parte hi kisi shakhs ki yaad
Kucha-e-jan main sada karti hai
Mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk
Hal jo tera ana??? Karti hai
Dukh hua karta hai kuch aur bayaaN
Bat kuch aur hua karti hai
Abr barse to inaayat uski
Shakh to sirf dua karti hai
Masla jab bhi utha chiragoN ka
Faisala sirf hawa karti hai.

No comments:

Post a Comment