waiz4u Shayari: KarvaN Guzar Gaya, Gubar Dekhte Rahe. expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

KarvaN Guzar Gaya, Gubar Dekhte Rahe.



Swapna-Jhare Phool Se, Meet-Chubhe Shool Se, 
Lut Gaye Singaar Sabhi Baag Ke Babool Se, 
Aur Hum Khade-Khade Bahaar Dekhte Rahe, 
KarvaN Guzar Gaya, Gubar Dekhte Rahe. 

Neend Bhi Khuli Na Thi Ke Haaye Dhoop Dhal Gayi, 
PaaoN Jab Talak Uthe Ke Zindagi Fisal Gayi, 
Paat-Paat Jhar Gaye Ke Shaakh-Shaakh Jal Gayi, 
Chaah To Nikal Saki Na Par Umar Nikal Gayi. 
Geet Ashk Ban Gaye, Swapn Ho Dafan Gaye, 
Saath Ke Sabhi Diye DhuaaN-DhuaaN Pehan Gaye, 
Aur Hum Jhuke-Jhuke,Mod Par Ruke-Ruke,
Umar Ke Chadhaav Ka Utaar Dekhte Rahe, 
KarvaN Guzar Gaya, Gubar Dekhte Rahe! 

Kya Shabaab Tha Ke Phool-Phool Pyaar Kar Utha, 
Kya kamaal Tha Ke Dekh Aina Sihar Utha, 
Is Taraf Zameen Aur Asmaan Udhar Utha, 
Thaam Kar Jigar Utha Ki Jo Mila Nazar Utha, 
Ek Din Magar YahaaN, Aisee Kuchh Hawa Chali, 
Lut Gayi Kali-Kali Ki Ghut Gayi Gali-Gali, 
Aur Hum Lute-Lute, Waqt Se Pite-Pite,
Saans Ki Sharaab Ka Khumaar Dekhte Rahe, 
KarvaN Guzar Gaya, Gubar Dekhte Rahe! 

Haath The Mile Ke Zulf Chaand Ki Sanwaar DooN, 
Honth The Khule Ke Har Bahaar Ko Pukaar DooN, 
Dard Tha Diya Gaya Ke Har Dukhi Ko Pyaar DooN, 
Aur Saand YuuN Ki Swarg Bhoomi Par Utaar DooN, 
Ho Saka Na Kuchh Magar, Shaam Ban Gayi Seher, 
Wo Uthi Lehar Ke Dheh Gaye Kile Bikhar-Bikhar, 
Aur Hum Dare-Dare, Neer Nayan MeiN Bhare, 
Odh-Kar Kafan Pade Mazaar Dekhte Rahe, 
KarvaN Guzar Gaya, Gubar Dekhte Rahe! 

Maang Bhar Chali Ke Ek Jab Nayi-Nayi Kiran, 
Dholke Dhunak Uthi, Thumak Uthe Charan-Charan, 
Shor Mach Gaya Ki Lo Chali Dulhan, Chali Dulhan, 
GaaoN Sab Umad Pada, Behak Uthe Nayan-Nayan, 
Par Tabhi Zehar Bhari,Gaaz Ek Wah Giri, 
Punchh Gaya Sindoor, Taar-Taar Hui Choonri, 
Aur Hum Ajaan Se, Door Ke Makaan Se, 
Palki Kiye Hue Kahar Dekhte Rahe! 
KarvaN Guzar Gaya, Gubar Dekhte Rahe!!



Gopaldas 'Neeraj'





No comments:

Post a Comment