Hum haiN mataa-e-koochaa-o-baazaar ki tarah

Hum haiN mataa-e-koochaa-o-baazaar ki tarah
 Uthti hai har nigaah khareedaar ki tarah

Wo to kahiN nahiN haiN  magar dil ke aas paas
 Phirti hai koi shai nigaahe yaar ki tarah

Majrooh likh rahe haiN wo ahal-e-wafaa kaa naam
 Hum bhi khade huye haiN gunahgaar ki tarah.


 

Comments

Popular Posts