waiz4u Shayari: Koi deewana kehta hai,koi pagal samajhta hai -Dr. Kumar Vishwas expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Koi deewana kehta hai,koi pagal samajhta hai -Dr. Kumar Vishwas



Koi deewana kehta hai, koi pagal samajhta hai,
Magar dharti ki bechaini ko bas badal samajhta hai,
MaiN tujhse door kaisa hooN tu mujhse door kaisi hai
Ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai,

Muhabbat ek ehsasoN ki paawan si kahani hai
Kabhi kabira diwana tha, kabhi meera diwani hai,
YahaN sab log kehte haiN meri aankhoN meiN ansoo haiN
Jo tu samjhe to moti hai, jo na samjhe to paani hai,

Samandar peer ka andar hai lekin ro nahiN sakta
Ye ansooN pyaar ka moti hai, isko kho nahiN sakta,
Meri chaahat ko dulhan tu bana lena magar sunle
Jo mera ho nahiN paya wo tera ho nahiN sakta,

Bhramar koi kumudini par machal baitha to hungama
humaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama,
Abhi tak doob kar sunte the sab kissa muhabbat ka
MaiN kisse ko haqeeqat meiN badal baitha to hungama,

Kisi ke dil ki maayusi jahaaN se hoke guzri hai
Humari saari chaalaaki wahiN pe kho ke guzri hai,
Tumhari aur humari raat meiN bus fark itna hai
Tumhari so ke guzri hai humari ro ke guzri hai,

Ye teri berukhi ki hum se aadat khaas tutegi
Koi dariya na ye samjhe ke meri pyaas tutegi,
Tere wade ka tu jaane mera wohi iraada haiN
Ke jis din saans tutegi us din aas tutegi,

Abhi chalta hooN raste ko maiN manzil maan looN kaise
Masiha dil ko apni zid ka qaatil maan looN kaise,
Tumhare yaad ke aadim andhere mujhko ghere hai
Tumhare bin jo beete din unhe din maan looN kaise,

GhamoN ko aabroo apni khushi ko gham samajhte haiN
Jinhe koi nahin samjha unhe bus hum samajhte haiN,
Kashish zinda hai apni chahatoN meiN jaaneman kyuN ki
HumeiN tum kam samajhte ho tumhe hum kam samajhte haiN,

Mile har zakhm ko muskaan se seena nahi aaya
Amarta chahate the par zehar peena nahi aaya,
Tumhari aur meri daastaaN meiN fark itna hai
Mujhe marna nahi aaya tumhe jeena nahi aaya,

Bahot bikhra bahot toota thapede seh nahi paya
HawaoN ke ishaaroN par magar maiN beh nahi paya, 
Adhoora ansuna hi reh gaya yuuN pyaar ke kissa
Kabhi tum sun nahi payi kabhi maiN keh nahi paya,

Tumhara khwaab jaise gham ko apnane se darte haiN,
Humari aankh ka aansoo khushi pane se darte haiN,
Ajab hai lazzat-e-gham bhi jo mera dil abhi kal tak
Tere jaane se darta tha wo ab aane se darta hai,

Swayam se door ho tum bhi swayam se door haiN hum bhi
Bahot mashhoor ho tum bhi bahot mashhoor hai Nhum bhi,
Bade magroor ho tum bhi bade magroor haiN hum bhi
Ate majboor ho tum bhi ate majboor haiN hum bhi,

MaiN jab bhi tez chalta hooN nazare chhoot jate haiN
Koi jab roop gadhta hooN to saanche toot jaate haiN,
MaiN rota hooN to aa kar kandha thapthapate haiN
MaiN hansta hooN to mujhse log aksar rooth jate haiN,

JahaaN har din sisakna hai jahaaN har raat gaana hai
Humari zindagi bhi ek tawaif ka gharana hai,
Bahot majboor ho kar geet roti ke likhe maine
Tumhari yaad ka kya use to roz aana hai,

BatayeiN kya humeiN kin kin sahaaroN ne sataya hai
Nadi to kuchh nahi boli kinaaroN ne sataya hai,
Sada se shool meri raahoN se khud hat gaya lekin
Mujhe to har ghadi har pal bahaaroN ne sataya hai,

Tumhi par marti hai ye dil adawat kyuN nahi karta
Kayi janmoN se bandhi hai bagawat kyuN nahi karta,
Kabhi tumse jo thi wohi shikayat hai zamane se
Meri tareef karta hai muhabbat kyuN nahi karta,

Badalne ko to in aankhoN ke manzar kam nahi badle
Tumhare yaad ke mausam humare gham nahi badle,
Tum agle janam meiN humse milogi tab to manogi
Zamane aur sadi ke is badal meiN hum nahi badle,

PanahoN meiN jo aaya ho to us par vaar kya karna
Jo dil haara hua ho fir us par adhikaar kya karna,
Muhabbat ka mazaa to doobne ki kashmakash meiN hai
Jo ho maloom gehrayi to dariya paar kya karna,

Koi manzil nahi jachti safar achchha nahi lagta
Agar ghar laut bhi aauN to ghar achchha nahi lagta,
KarooN kuchh bhi maiN ab duniya ko sab achchha hi lagta hai
Mujhe kuchh bhi tumhare bin magar achchha nahi lagta,

Mera job hi tajurba hai tumheiN batla raha hooN maiN
Koi lab chhoon gaya tha tab ke ab tak gaa raha hoon maiN,
Bichhad kar tumse ab kaise jiya jaaye bina tadpe
Jo maiN khud hi nahi samjha wohi samjha raha hooN maiN,

Mere jeene meiN marne meiN tumhara naam aayega
MaiN saaseiN rok looN phir bhi yehi ilzaam aayega,
Har ek dharkan meiN jab tum ho to phir apraadh kya mera
Agar radha pukaregi to phir ghanashyam aayega,

Koi patthar ki murat hai kisi patthar meiN murat hai
Lo humne dekhli duniya jo itni khubsoorat hai,
Zamana apni samjhe par mujhe apni khabar ye hai
Tujhe meri zaroorat hai mujhe teri zaroorat hai,

Pukare aankh meiN chadhkar to khuN ko khuN samajhta hai,
Andhera kis ko kehte haiN ye bus jugnu samajhta hai,
HumeiN to chaand taaroN meiN bhi tera roop dikhta hai
Muhabbat meiN numaaish ko adaayeiN tu samajhta hai,

Mera pratiman aansoo meiN bhigo kar gadh liya hota
Akinchan paaoN tab aage tumhara badh liya hota,
Meri aankhoN meiN bhi ankit samarpan ki richhayeiN thiN
Unhe kuchh arth mil jata jo tumne padh liya hota,

KahiN par jag liye tum bin kahiN par so liye tum bin
Bhari mehfil meiN bhi aksar akele ho liye tum bin,
Ye pichhle chand barsoN ki kamaayi saath hai mere
Kabhi phir hans liye tum bin kabhi phir ro liye tum bin,

Koi kab tak mehaz soche koi kab tak mehaz gaaye
Ilaahi kya ye mumkin hai kuchh aisa bhi ho jaaye
Mera mehtaab uski raat ke aagosh me pighle
MaiN uski neend meiN jagooN wo mujh meiN ghul ke so jaaye,

Is dil ko barbad karke is me kyuN aabaad rehte ho
Koi kal keh raha tha tum illahabad rehte ho
Ye kaise shohrateiN ataa kar di mere maula
MaiN sab kuchh bhool jata hooN magar tum yaad rehte ho,

Humare sher sunkar bhi jo khamosh itna hai
Khuda jaane guroor-e-husn meiN madhosh kitna hai
Kisi pyaale se puchha hai suraahi ne sabab maiy ka
Jo khud behosh ho wo kya bataaye hosh kitna hai.




No comments:

Post a Comment