Hum MeiN Hi Thee Na Koi Baat, Yaad Na Tumko Aa Sake
Tumnay HameiN Bhula Diya, Hum Na Tumhe Bhula Sake
Tum Hi Na Sun Sako Agar, Qissa-e-gham Sunega Kaun
Kis Ki Zubaan Khulegi Phir, Hum Na Agar Suna Sake
Ronaq-e-bazam Ban Gaye, Lab Pe HiqayateiN Rahi
Dil MeiN ShikaiyateiN Rahi, Lab Na Magar Hila Sake
Shauk-e-visaal HaiN YahaaN, Lab Pe Sawaal Hai YahaaN
Kis Ki Majaal Hai YahaaN, Hum Se Nazar Mila Sake
Dheere Se Sarakti Hai Raat Uske Aanchal Ki Tarah,
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel MeiN Kanwal Ki Tarah,
Baad Muddat Usko Dekha To Jism-o-JaaN Ko YuuN Laga,
Pyaasi Zameen Pe Jaise Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah,
Pyaasi Zameen Pe Jaise Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah,
Roz Kehta Hai Seene Pe Sar Rakh Ke Raat Bhar JagaauoN-Ga,
Sar-e-Sham Hi Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,
Sar-e-Sham Hi Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,
Dabaa dabaa sa sahee dil meiN pyaar hai ke naheeN
Tu apane dil kee jawaan dhadakanon ko gin ke bataa
Meri tarah teraa dil beqaraar hai naheeN
Wo pal ke jis meiN muhabbat jawaan hoti hai,
Us ek pal kaa tujhe intezaar hai ke naheeN
Teri ummeed pe thhukra rahaa hooN duniyaaN ko
Tujhe bhee apne pe ye aitabaar hai ke naheeN....
Paas baithho tabiyat behal jaayegi
Maut bhi aa gai ho to tal jaayegi,
Dhaar kaajal kee tum aur tikhee karo
Maang hothhoN kee meethhi hasee se bharo
Zindagi jhoomane par machal jaayegi,
Hum ne maana ke chhaaye haiN kaali ghataa,
Gore gaaloN se gesoo hataa do Zaraa
Is andhere meiN ek shamma jal jaayegi,
Gham ne chheda humeiN tum naa chhedaa karo
Jo tumhaare hai, unse naa pardaa karo
Muskuraado tamanna nikal jaayegi.
Aah ko chaahiye ik umra asar hone tak,
Kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?
Aashiqee sabra talab aur tamanna betaab,
Dil ka kya rang karooN khoon-e-jigar hone tak?
Humne maana ke taghaful na karoge, lekin,
Khaak ho jaayeiNge hum tumko khabar hone tak,
Gham-e-hastee ka 'asad' kis se ho juz marg ilaaz,
Shamma'a har rang meiN jaltee hai sehar hone tak.
Kal chaudhveeN Ki Raat Thi,
Shab Bhar Raha Charcha Tera,
Kuch Ne Kaha Ye Chaand Hai,
Kuch Ne kaha Chehra Tera,
Hum Bhi WaheeN Maujood The,
Humse Bhi Sab Poochha Kiye,
Hum Hass Diye Hum Chup Rahe,
Manzoor Tha Parda Tera ,
Is Sheher MeiN Kisse Mile,
Humse To Chhooti MehfileiN,
Har Shaks Tera Naam Le,
Har Shaks Deewana Tera ,
Koonche Ko Tere Chhodkar,
Jogi Hi Ban Jaaye Magar,
Jungle Tere Parbat Tere,
Basti Teri Sahera Tera,
Bedard Sunni Ho To Chal,
Kehta Hai Kya Achchhi Ghazal,
Aashiq Tera Ruswaa Tera,
Shaayar Tera Inshaa Tera,
No comments:
Post a Comment