Un Jheel Se Gehri AnkhoN MeiN, Ik Shaam Kbhi Abaad To Ho,,
Us Jheel Kinare Pal do Pal, Ik Khawab Ka Neelaa Phool Khile,,
Kisi Roz Kabhi Hum Shaam Dhale, Wo Phool Baha DeiN LehroN MeiN,,
Phir Us Phool Ke Behte RangoN MeiN, Jis Waqt Larazta CHAAND Chale,,
Un AnkhoN MeiN Us Pal Ki, Koi Yaad To Ho,,
Un Jheel Se Gehri Ankhon MeiN, Ik Shaam Kabhi Abaad To Ho,,
Phir Chahe Umar-E-Samandar Ki,Har Mauj PareshaaN Ho JaaeiN,,
Phir Chahe Ankh Ke DareechoN Se, Har Khawab Garezan Ho JaaeiN,,
Phir Chaahe Phool Se Chehre Ka,Har Dard NamaayaN Ho Jaaye,,
Us Jheel Kinare Wo Roop Nagar,Kabhi Ejaad To Ho,,
Din Raat Ke Aaine Se Wo Aks,Kbhi Azaad To Ho,,
Un Jheel Se Gehri AnkhoN MeiN,Ik Shaam Kbhi Abaad To Ho.
Amjad Islam Amjad