waiz4u Shayari: July 2015 expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Monday, July 27, 2015

Deewangi Ho,Aql Ho,Ummeed Ho Ke Yaas,



Deewangi Ho,Aql Ho,Ummeed Ho Ke Yaas,
Apna Wahi Hai Waqt Pe Jo Kaam Aa gaya...


                                     Jigar MoradaBadi



Friday, July 17, 2015

Kab mehkegi fasl-e-gul kab behkega maiy-khaana,




Kab mehkegi fasl-e-gul kab behkega maiy-khaana,
Kab subah-e-sukhan hogi kab shaam-e-nazar hogi...


                                                        Faiz Ahmed Faiz






Dil-e-fasurdah meiN phir dharrkanoN ka shor utha,


 

Dil-e-fasurdah meiN phir dharrkanoN ka shor utha,
Ye baithe-baithe mujhe kin dinoN ki yaad aayi...

                                                     Nasir Kazmi







Kal jo tha wo aaj nahi ,jo aaj hai wo kal mit jaayega,



Kal jo tha wo aaj nahi ,jo aaj hai wo kal mit jaayega,
Rookhi-Sookhi jo mil jaaye shukra karo to behtar hai..


                                                        Nasir Kazmi










Thursday, July 16, 2015

Shokh ho jati hai ab bhi teri aankhoN ki chamak,


 
Shokh ho jati hai ab bhi teri aankhoN ki chamak,
Gahe-gahe, tere dilchasp jawaboN ki tarah...
 

                                          Parveen Shakir









Aisi majboori ke aalam meiN koyi,


 
Aisi majboori ke aalam meiN koyi,
Yaad aaya bhi to kya yaad aaya...

                                          Ahmad Faraz







Najaat-e-deedaa-o-dil ki ghadi nahi aayi



Najaat-e-deedaa-o-dil ki ghadi nahi aayi,
Chale-chalo ke wo manzil abhi nahi aayi...


                                  Faiz Ahmed Faiz





Jaaga hua zameer wo aaina hai "qateel",




Jaaga hua zameer wo aaina hai "qateel",
Sone se pehle roz jise daikhta hooN maiN...

 
                                            Qateel Shifai









Wednesday, July 15, 2015

Hansi Ko Apni Sun Ke Ek Baar MaiN Bhi Chaunk Uthi,



Hansi Ko Apni Sun Ke Ek Baar MaiN Bhi Chaunk Uthi,
Ye Mujh MeiN Dukh Chupane Ka Kamaal Kaise Aagaya...

                                                      Parveen Shakir






Khushi Mili to Kayi Dard Mujhse rooth Gaye,




Khushi Mili to Kayi Dard Mujhse rooth Gaye,
Dua Karo Ke MaiN Phir Se Udaas Ho JaooN...

                                               Mohsin Naqvi 






Unki AankhoN Se Rakhe Kaya Koyi Umeed-e-Karam,




Unki AankhoN Se Rakhe Kaya Koyi Umeed-e-Karam,
Payaas Mit Jaye To Gardish MeiN Wo Jaam Aate HaiN...


                                                       Qateel Shifai 








Haaye Wo Dard-e-Dil ke Jigar,



Haaye Wo Dard-e-Dil ke Jigar,
Kuchh NahiN Khulta Jis Ka Sabab...


                                    Jigar Moradabadi





Jal gaya dil safed haiN aankheiN,




Jal gaya dil safed haiN aankheiN,
Ye to kuchh intizaar meiN dekha...





Monday, July 13, 2015

Baam-e-meena se maahtaab utre,




Baam-e-meena se maahtaab utre,
Dast-e-saaqi meiN, aaftaab aaye..
 

                                    Faiz Ahmed Faiz




Kuch To Tere Mausam Hi Mujhe Raas Kam Aaye,




Kuch To Tere Mausam Hi Mujhe Raas Kam Aaye,
Aur Kuchh Meri Matti MeiN Baghawat Bahot Thi,

                                              Parveen Shakir







Ek ik kar ke huye jaate haiN taare roshan,



Ek ik kar ke huye jaate haiN taare roshan,
Meri manzil ki taraf tere qadam aate haiN...


                                  Faiz Ahmed Faiz






Yak Lakht Gira Hai To JadeiN Tak Nikal AayiiN,



Yak Lakht Gira Hai To JadeiN Tak Nikal AayiiN,
Jis Ped Ko Aandhi MeiN Bhi Hilte NahiN Daikha...


                                                            Parveen Shakir 







Khudse kheencha ho koyi zehar ka bhala humne,



Khudse kheencha ho koyi zehar ka bhala humne,

Is trah usko kaleje se nikala humne,

Zid pe aa jaaye kisi baat pe bachcha jaise,

Dil tere baad kuchh is tarah sambhala humne...

                                                    Wasi Shah







Us Ne Ye Meri Muhabbat Ko Naya Mod Diya,



Us Ne Ye Meri Muhabbat Ko Naya Mod Diya,
Aaj Mere Liye BaaloN Ko Khula Chhod Diya...


                                           Wasi Shah 




MaiN Jo Zinda HooN To Sirf Is Liye Aiye Ko-e-Rasool (SAW)




MaiN Jo Zinda HooN To Sirf Is Liye Aiye Ko-e-Rasool (SAW)
Ek Na Ek Din To Bulayegi Teri Khaak Mujhe...

                                                          Qateel Shifai  






Haal-e-Gham unko sunaate jaayiye_'Khumaar'


 

Haal-e-Gham unko sunaate jaayiye

Shart ye hai ke muskuraate jaayiye,


Aap ko jaate na dekha jaayega

Shamma ko pehale bujhaate jaayiye,


Shukriya lutf-e-musal_sal ka magar

Gaahe gaahe dil ko dukhaate jaayiye,


DushmanoN se pyaar hota jaayega

DostoN ko aazamaate jaayiye,


Raushni mahadood ho jin ki 'Khumaar'

Un charaagoN ko bujhaate jaayiye.





Friday, July 10, 2015

Dasht To Dasht HaiN, Dariya Bhi Na Chhode Humne,




Dasht To Dasht HaiN, Dariya Bhi Na Chhode Humne,
Bahr-e-Zulmaat MeiN Dauda Diye Ghode Humne...





Monday, July 6, 2015

Khumar Barabankvi













Aiye-maut-UnheiN-bhulaye-zamaane-guzar-gaye











InhiN PattharoN pe chalkar agar aa sako to aao








inhi-pattharoN-me-chalkar-agar-aa-sako-to-aao.png 


इनहीं पत्थरों पे चल कर अगर आ सको तो आओ,

मेरे घर के रास्ते में कोई कहकशाँ नहीं है

मुस्तफ़ा ज़ैदी


انہیں پتھروں پر چلکر اگر آ سکو تو آؤ

میرے گھر کے راستے میں کوئی کہکشاں نہیں ہے

مصطفیٰ زیدی


InheeN pattharoN pe chal kar agar aa sako to aao

Mere ghar ke raste meiN koi kahkashaaN nahiN hai

Mustafa Zaidi





Thursday, July 2, 2015

Wo sheher meiN hai, yehi bahot hai




Wo sheher meiN hai, yehi bahot hai,
Kis ne kaha, mere ghar hi thehre...

                             Parveen Shakir