waiz4u Shayari: August 2015 expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Sunday, August 16, 2015

Wo mera ho kar bhi mujhse mehroom raha,




Wo mera ho kar bhi mujhse mehroom raha,
Koi kya mujhsa bhi jeet ke haara hoga...





Din nahiN raat nahiN subah nahiN shaam nahiN,



Din nahiN raat nahiN subah nahiN shaam nahiN,
Reh gayi ek “NahiN”, “HaaN” ka kahiN naam nahiN...





UngliyaaN meri wafaa par to na uthaao logoN,



UngliyaaN meri wafaa par to na uthaao logoN,
Jise ho shaq wo mujhse nibhaah ke dekhe...




Ab dekhiye to kis ki jaan jaati hai,



Ab dekhiye to kis ki jaan jaati hai,
Usne meri maine uski qasam khayi hai...




Friday, August 14, 2015

Mujhse usko rahi talaash-e-ummeed



Mujhse usko rahi talaash-e-ummeed,
So bahut din chhupaa raha mujhe meiN...

                                                  Jon Elia




Hai jahaaN tak khayaal ki parwaaz,

 
 
Hai jahaaN tak khayaal ki parwaaz,
MaiN wahaaN tak qafas likhe jaauN.

                                        Jon Elia





Wednesday, August 12, 2015

Baithe baithe baras padeeN aankheiN



Baithe baithe baras padeeN aankheiN,
Kar gayi phir kisi ki aas udaas...


                                Nasir Kazmi




Tuesday, August 11, 2015

Rasm-e-ulfat sikha gaya koyi-Begum Akhtar


Rasm-e-ulfat sikha gaya koyi,
Dil ki dyniya pe chha gaya koyi,

Ta Qayaamat Kisi Tarah Na Bujhe,
Aag Aisi Laga Gaya Koi,

Dil ki duniya ujaad si kyu hai,
Kya yahaaN se chala gaya koyi,

Waqt-e-rukhsat gale laga kar "Daagh",
Haste-haste rula gaya koyi.






Wednesday, August 5, 2015

Unki berukhi me bhi iltefaat shamil hai_BEGUM AKHTAR



Unki berukhi me bhi iltefaat shamil hai,
Aaj kal meri haalat dekhne ke qaabil hai,

Qatl ho to mera sa, maut ho to meri si,
Mere saugawaroN me aaj mera qatil hai,

Mustarib haiN maujeiN kyuN uth rahe hain tufaan kyuN,
Kya kisi safine ko aarzuy_e_saahil hai,

Sirf raahzan hi se kyuN 'amir' shikwa ho,
ManziloN ki rahoN me rahbar bhi shamil hai.


Bol raha tha kal Wo mujhse haath me mera haath liye_Ahmed Hussain, Mohammed Hussain





Bol raha tha kal Wo mujhse,Haath me mera haath liye,
Chalte raheinge dukh-sukh ke hum, saare mausam saath liye,

Usne apni jholi se kal  pyaar ke humko phool diye,
Laut aaye haiN daaman bharke uski ye saugaat liye,

Rang daalo tan-man ki bagiya phagun bankar Aa Jaao,
Baras pado dilke aangan me, RangoN ki barsaat liye,

Humne apni saari shaameiN likh di unke Naam "Qateel",
Umra ka lamha-lamha Bita unko apne saath liye.

                                                     Qateel Shifai













Saturday, August 1, 2015

Roya hai Mann tanha tanha



Roya  hai Mann tanha tanha,
Bita saavn tanha tanha,

Tanhayi me jab bhi roye,
Bhiga daaman tanha tanha,

Saath "Qateel" mera deti  hai,
Dil ki dhadkan tanha tanha.



Aaj Socha to aansoo bhar aaye