Hum-par tumhaari chaah kaa ilzaam hi to hai,
Dushnaam to nahiN hai ye ikaraam hi to hai..
Karate haiN jis pe taa'N, koi jurm to nahiN,,
Shauq-e-fuzool-o-ulfat-e-nakaam hi to hai
[taa'n=satire]
Dil muddai ke harf-e-malaamat se shaad hai
Aiye jaan-e-jaaN ye harf teraa naam hi to hai
[harf-e-malaamat=word of criticism]
Dil na-ummeed to nahiN, na-kaam hi to hai
Lambii hai Gham ki shaam, magar shaam hi to hai
Dast-e-falak meiN, gardish-e-taqadeer to nahiN
Dast-e-falak meiN, gardish-e-ayyaam hii to hai
Aakhir to ek roz karegi nazar wafaa
Wo yaar-e-khush-khasaal sar-e-baam hi to hai
[Khush_Khasaal=virtuous]
Bheegi hai raat 'Faiz' Gazal ibtidaa karo
Waqt-e-sarod dard kaa hungaam hi to hai.
No comments:
Post a Comment