Pyaar par bas to naheeN hai mera lekin phirbhi,
Tu bata de ki tujhe pyaar karooN yaa na karooN,
Tune khud apne tabassum se jagaya hai unheiN,
Un tamannaoN ka izhaar karooN ya na karooN,
Tu kisi aur ke daaman ki kali hai lekin,
Meri raateiN teri khushboo se basi rehti haiN,
Tu kaheeN bhi ho tere phool se aaraz ki Qasam,
Teri palkeiN meri AankhoN pe jhuki rehti haiN,
Tere haathoN ki hararat teri saansoN ki mahek,
Tairti rahti hai ehsaas ki tanhaai meiN,
Dhoondti rehti haiN meri baaheiN tujhko
Sard raatoN ki sulagti hui tanhaai meiN..
sahir ludhiyanwi.

No comments:
Post a Comment