Phir Kuch Is Dil Ko Beqarari Hai
Sina Zoya-e-zakhm-e-kari Hai
Phir Jigar Khodne Laga Nakhun
Amad-e-fasl-e-lalakari Hai
Qibla-e-maqsad-e-nigah-e-niyaz
Phir Wahi Parda-e-ammari Hai
Chashm-e-dallal-e-jins-e-ruswai
Dil Kharidar-e-zauq-e-khwari Hai
Wahi Sadrang Nala Farsai
Wahi Sadguna Ashqbari Hai
Dil Hawa-e-khiram-e-naz Se Phir
Mahshristan-e-beqarari Hai
Jalwa Phir Arz-e-naz Karta Hai
Roz-e-bazar-e-jansupari Hai
Phir Usi Bewafa Pe Marte HaiN
Phir Wahi Zindagi Hamari Hai
Phir Khula Hai Dar-e-adalat-e-naz
Garm Bazar-e-faujdari Hai
Ho Raha Hai JahaN MeiN Andhera
Zulf Ki Phir Sarishtadari Hai
Phir Diya Para-e-jigar Ne Sawal
Ek Fariyad-o-ah-o-zari Hai
Phir Hue HaiN Gawah-e-ishq Talab
Ashqbari Ka Hukmzari Hai
Dil-o-mizshgan Ka Jo Muqadma Tha
Aj Phir Us Ki Rubqari Hai
Bekhudi Besabab Nahi ‘ghalib’
Kuch To Hai Jis Ki Pardadari Hai
No comments:
Post a Comment