Log har mod pe ruk-ruk ke sambhalate kyuN haiN,
Itana darte haiN to phir ghar se nikalate kyuN haiN,
MaiN na juganu hooN diya hooN na koi taara hooN,
Raushni waale mere naam se jalte kyuN haiN,
Nind se mera ta`alluq hi nahi barasoN se,
Khwab a a ke meri chhat pe tahalate kyuN haiN,
Mod hota hai jawaani ka sambhalne ke liye,
Aur sab log yahiN aake phisalte kyuN haiN.
Rahat Indori

No comments:
Post a Comment