Dil dhoondhta hai fir wahi fursat ke raat din
Baithe rahe tasawwur-e-jaana kiye huye
Baithe rahe tasawwur-e-jaana kiye huye
Jaado ki narm dhoop aur aangan me let kar
AankhoN pe khinch kar tere daaman ke saaye ko
Aundhe pade rahe kabhi karwat liye huye
AankhoN pe khinch kar tere daaman ke saaye ko
Aundhe pade rahe kabhi karwat liye huye
Dil dhoondhta hai fir wahi fursat ke raat din
Ya garmiyoN ki raat jo purwayiya chale
Thandi safed chaadaro pe jage der tak
TaaroN ko dekhate rahe chhat par pade huye
Dil dhoondhta hai fir wahi fursat ke raat din
Barfili sardiyo me kisi bhi pahaad par
Waadi me gunjti hui khamoshiyaN sune
AankhoN me bhige-bhige se lamhe liye huye
Waadi me gunjti hui khamoshiyaN sune
AankhoN me bhige-bhige se lamhe liye huye
Dil dhoondhta hai fir wahi fursat ke raat din.
No comments:
Post a Comment