Ab Aksar Chup-Chup Se Rahe HaiN YuuN Hi Kabahu Lab Khole HaiN
Pehle “Firaq” Ko Dekha Hota Ab To Bahut Kam Bole HaiN
Din MeiN Hum Ko Dekhne Waalo Apne Apne HaiN Auqaat
Jaao Na Tum In Khusk AankhoN Par Hum RaatoN Ko Ro Le HaiN
Fitrat Meri Ishq-O-Mohabbat Kismat Meri Tanhaai
Kahane Ki Naubat Hi Na Aayi Hum Bhi Kasu Ke Hole HaiN
Baag MeiN Wo Khwaab-Aavar Aalam Mauj-E-Sabaa Ke IshaaroN Par
Daali Daali Nauras Patte Sahas Sahaj Jab Dole HaiN
Uf Wo LaboN Par Mauj-E-Tabassum Jaise Karavatein Len KaundeiN
Haay Wo Aalam Jumbish-E-Mizagaan Jab Fitne Par Tole HaiN
In RaatoN Ko Harim-E-Naaz Kaa Ik Aalam Hoye Hai Nadiim
Khalvat MeiN Wo Narm Ungaliyaan Band-E-Qabaa Jab Khole HaiN
Gham Ka Fasaana Sunane Waalo Aakhir-E-Shab Aaraam Karo
Kal Ye Kahaani Phir Chhedenge Hum Bhi Zara Ab So Le HaiN
Hum Log Ab To Paraaye Se HaiN Kuchh To Bataao Haal-E-”Firaq”
Ab To Tumhi Ko Pyaar Kare HaiN Ab To Tumhi Se Bole HaiN.
No comments:
Post a Comment