Kabhi Pehle Dekha NahiN ye Sama,
Ye Mai Bhoole Se Aa Gaya HooN KahaaN
YahaaN MaiN Ajanabi HooN,
MaiN Jo HooN Bas wahi HooN
KahaaN Shaam-O-Sehar Ye, KahaaN Din-Raat Mere
Bahut Rusvaa Huye HaiN, YahaaN Jazbaat Mere
Nayi Tehzeeb Hai Ye, Naya Hai Ye Zamana
Magar MaiN Aadami HooN, Vahii Sadiyon Puraanaa
Main Kyaa Jaanuun Ye Baaten Zaraa Insaaf Karanaa
Merii Gustaakiyon Ko Kudaaraa Maaf Karanaa
Yahaan Main Ajanabii HooN
Teri BaanhoN MeNn DekhuN, Sanam GairoN Ki BaanheiN
MaiN Laaunga KahaaN Se, Bhalaa Aisi NigaaheiN
Ye Koii Raqs Hogaa, Koii Dastuur Hoga,
Mujhe Dastoor Aisa, KahaaN Manzoor Hoga,
Bhala Kaise Ye Mera Lahoo Ho Jaaye Paani,
MaiN Kaise Bhool JaaooN MaiN HooN Hindostaani,
YahaaN MaiN Ajanabi HooN
Mujhe Bhi Hai Shikaayat, Tujhe Bhi To Gilaa Hai,
Yahi Shiqve Humari, Mohabbat Ka Silaa HaiN,
Kabhi Maghrib Se Mashriq, Mila Hai Jo Milega,
JahaaN Ka Phool Hai Jo, wahiN Pe wo Khilega,
Tere Unche Mehal MeiN, NahiN Mera Guzaara,
Mujhe Yaad Aa Raha Hai, wo Chhota Sa Shikaara,
YahaaN MaiN Ajanabi HooN...
No comments:
Post a Comment