Tujh ko socha to pata ho gaya ruswaayi ko,
Maine mehfooz samajh rakha tha tanhaayi ko.
Jism ki chaah lakeeroN se ada karta hai,
khaaq samjhega musawwir teri angdaayi ko.
Apni dariyaayi pe itra na bahut aiye dariya,
Ek qatra hi bahut hai teri ruswaaui ko.
Chaahe jitna bhi bigad jaaye zamaane ka chalan,
Jhooth se haarte dekha nahiN sacchaayi ko.
Saath maujoN ke sabhi ho jahaaN behne waale,
Kaun samjhega samandar teri gehraayi ko.
No comments:
Post a Comment