waiz4u Shayari: Kuchh is tarah wo meri zindagi meiN aaya tha, expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Monday, March 30, 2015

Kuchh is tarah wo meri zindagi meiN aaya tha,



Kuchh is tarah wo meri zindagi meiN aaya tha,
Ki mera hote huye bhi, bas ek saaya tha.

Hawaa meiN udne ki dhun ne ye din dikhaaya tha,
udaan meri thi, lekin safar paraaya tha.

Ye kaun raah dikha kar chala gaya mujh ko,
MaiN zindagi meiN bhala kis ke kaam aaya tha.

MaiN apne waade pe qaayam na reh saka warna,
wo thodi door ja kar to laut aaya tha.

Na ab wo ghar hai, na uske log yaad ‘wasim',
Na jaane us ne kahaN se mujhe churaaya tha.





No comments:

Post a Comment