waiz4u Shayari: Khumar Barabankvi Nice Urdu Ghazal expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Tuesday, June 30, 2015

Khumar Barabankvi Nice Urdu Ghazal


 

Wo savn yaad aaye bhulaane ke baad
Zindagi badh gayi zaher khaane ke baad

Dil sulagata raha aashiyaane ke baad
Aag Thandi huyi ik zamaane ke baad

Raushani ke liye ghar jalaana pada
Kaisi zulmat badhi tere jaane ke baad

Jab na kuchh ban pada arz-e-Gam ka jawaab
Wo Khafa ho gaye muskuraane ke baad

DushmanoN se pashemaaN hona pada hai
DostoN ka Khuloos aazamaane ke baad

BaKhsh de yaa rab ahal-e-hawas ko bahisht
Mujh ko kyaa chaahiye tum ko paane ke baad

Kaise kaise gile yaad aaye 'Khumar'
Unke aane se qabl unke jaane ke baad.





No comments:

Post a Comment