Sarfaroshī kī tamannā ab hamāre dil meiN hai
Dekhnā hai zor kitnā bāzū-e-qātil meiN hai
Aye shahīd-e-mulk-o-millat maiñ tire uupar nisār
Le tirī himmat kā charchā ġhair kī mahfil meiN hai
Vaa.e qismat paañv kī ai zo.af kuchh chaltī nahīñ
Karvāñ apnā abhī tak pahlī hī manzil meiN hai
Rahrav-e-rāh-e-mohabbat rah na jaanā raah meñ
Lzzat-e-sahrā-navardī dūrī-e-manzil meñ hai
Shauq se rāh-e-mohabbat kī musībat jhel le
Ik ḳhushī kā raaz pinhāñ jāda-e-manzil meiN hai
Aaj phir maqtal meñ qātil kah rahā hai baar baar
Ayein vo shauq-e-shahādat jin ke jin ke dil meiN hai
Marne vaalo aao ab gardan kaTāo shauq se
Ye ġhanīmat vaqt hai ḳhanjar kaf-e-qātil meiN hai
Mane-e-iz.hār tum ko hai hayā, ham ko adab
Kuchh tumhare dil ke andar kuchh hamāre dil meiN hai
Mai-kada sunsān ḳhum ulte pade haiñ jaam chuur
Sar-nigūñ baiThā hai saaqī jo tirī mahfil meiN hai
vaqt aane de dikhā deñge tujhe ai āsmāñ
Hum abhī se kyuuñ batā.eñ kyā hamāre dil meiN hai
Ab na agle valvale haiñ aur na vo armāñ kī bhiiḌ
Sirf miT jaane kī ik hasrat dil-e-'bismil' meiN hai
Bismil Azimabadi