Friday, October 31, 2014
Aaye to yuuN ke jaise hamesha the meherbaaN
Aaye to yuuN ke jaise hamesha the meherbaaN,
Bhoole to yuuN ke goya kabhi aashnaa na the..
Bhoole to yuuN ke goya kabhi aashnaa na the..
Kaise chhupaooN raaz e gham deeda e tar ko kya karooN
Kaise chhupaooN raaz e gham deeda e tar ko kya karooN
Dil ki tapish ko kya kahuN soz e jigar ko kya karooN...
Dil ki tapish ko kya kahuN soz e jigar ko kya karooN...
Hasrat Mohani
Zindagi jab bhi teri bazm mein laati hai humeiN
Zindagi jab bhi teri bazm meiN laati hai humeiN
Ye zamiN chaand se behtar nazar aati hai humeiN
Surkh phooloN se mehak uthati haiN dil ki raheiN
Din dhale yuuN teri aawaaz bulaati hai humeiN
Yaad teri kabhi dastak kabhi saragoshi se
Raat ke pichhale pahar roz jagaati hai humeiN
Har mulaqat ka anjaam judai kyuN hai
Abto har waqt yahi baat sataati hai humeiN
MaiN To Marta HooN Wo Ye Kehte HaiN
MaiN To Marta HooN Wo Ye Kehte HaiN
Achcha Khaasa Hai Bhala Changa Hai...
Achcha Khaasa Hai Bhala Changa Hai...
Daagh Dehlvi
Hasrat Mohani Two Line Shayari
Kabhi ki thi , jo ab dawa kije ga?
Mujhe pooch kar aap kya kije ga ...
Mujhe pooch kar aap kya kije ga ...
Hasrat Mohani
Meri chaahat ka takaaza na nibhaane waale
Meri chaahat ka takaaza na nibhaane waale,
Kitne be-dard haiN ye log zamane waale,
Koi apna nahiN, matlab ki hai ye duniya saari,
Ab kahaN milte haiN wo log puraane waale,
Ab kahaN milte haiN wo log puraane waale,
MaiN dua’go hooN sadaa neendeiN mubarwk tujjhko,
Hijr ka dard hume de ke jagaane waale,
Hijr ka dard hume de ke jagaane waale,
Bas ye soch ke har baar manaata hooN tujhe,
Laut ke aate nahiN rooth ke jaane waale,
Laut ke aate nahiN rooth ke jaane waale,
Humare seene meiN jhaank ke dekho to zara,
Kitne afsurda haiN auroN ko hasaane waale..
Kitne afsurda haiN auroN ko hasaane waale..
Thursday, October 30, 2014
Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho-Jagjit Singh
Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho
Kya Gham Hai Jisko Chhupa Rahe Ho
Kya Gham Hai Jisko Chhupa Rahe Ho
Aankhon MeiN Nami, Hansi LaboN Par
Kya gham hai jisko chhupa rahe ho
Ban Jayeinge Zehar Peete Peete
Yeh Ashk Jo Pite Ja Rahe Ho
Kya gham hai jisko chhupa rahe ho
Ban Jayeinge Zehar Peete Peete
Yeh Ashk Jo Pite Ja Rahe Ho
Jin ZakhmoN Ko Waqt Bhar Chala Hai
Tum KyoN Unhe Chhede Ja Rahe Ho
Tum KyoN Unhe Chhede Ja Rahe Ho
Kya gham hai jisko chhupa rahe ho
RekhaoN Ka Khel Hai Muqaddar
RekhaoN Se Maat Kha Rahe Ho
Kya gham hai jisko chhupa rahe
Maan lo tumbhi aazmana nahiN--Wasi Shah
Maan lo tumbhi aazmana nahiN
Dil kabhi bhi kisi ki maana nahiN
Dil kabhi bhi kisi ki maana nahiN
Us gali ki Hai har khabar pe nazar
Ye alag baat aana jaan nahiN
Ye alag baat aana jaan nahiN
JyoN jyoN hum jaante gaye TyoN tyoN
Yahi jaana ki kuchh bhi Jaana nahiN,
Yahi jaana ki kuchh bhi Jaana nahiN,
Ek khane meiN rehte haiN,
Doosra dil meiN koi khana nahiN,
Doosra dil meiN koi khana nahiN,
Phaila aaj ho rahe ga 'Wasi',
Ya to Dedaar ya deewana nahiN.
Ya to Dedaar ya deewana nahiN.
Dil dhoondhta hai fir wahi fursat ke raat din
Dil dhoondhta hai fir wahi fursat ke raat din
Baithe rahe tasawwur-e-jaana kiye huye
Baithe rahe tasawwur-e-jaana kiye huye
Jaado ki narm dhoop aur aangan me let kar
AankhoN pe khinch kar tere daaman ke saaye ko
Aundhe pade rahe kabhi karwat liye huye
AankhoN pe khinch kar tere daaman ke saaye ko
Aundhe pade rahe kabhi karwat liye huye
Dil dhoondhta hai fir wahi fursat ke raat din
Ya garmiyoN ki raat jo purwayiya chale
Thandi safed chaadaro pe jage der tak
TaaroN ko dekhate rahe chhat par pade huye
Dil dhoondhta hai fir wahi fursat ke raat din
Barfili sardiyo me kisi bhi pahaad par
Waadi me gunjti hui khamoshiyaN sune
AankhoN me bhige-bhige se lamhe liye huye
Waadi me gunjti hui khamoshiyaN sune
AankhoN me bhige-bhige se lamhe liye huye
Dil dhoondhta hai fir wahi fursat ke raat din.
Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumako-Lyrics
Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumako
Meri baat aur hai maine to muhabbat ki hai
Meri baat aur hai maine to muhabbat ki hai
Mere dil ki mere jazbaat ki keemat kya hai
Ulajhe-ulajhe se khyaalaat ki keemat kya hai
Ulajhe-ulajhe se khyaalaat ki keemat kya hai
Maine kyuN pyaar kiya tumne na kyuN pyaar kiya
In pareshaan savaalaat ki keemat kya hai
Tum jo ye bhi na batao to ye haq hai tumako
Zindagi sirf muhabbat nahi kuchh aur bhi hai
Zulf-o-rukasar ki jannat nahi kuchh aur bhi hai
Bhukh aur pyaas ki maari hui is duniya meiN
Ishq hi ek haqeekat nahi kuchh aur bhi hai
Tum agar aankh churao to ye haq hai tumako
Maine tumase hi nahi sabase muhabbat ki hai
Tumako duniya ke gam-o-dard se furasat naa sahi
Sabase ulafat sahi mujhase hi muhabbat na sahi
Mai tumhari hooN yahi mere liye kya kam hai
Tum mere hoke raho ye meri qismat na sahi
Aur bhi dil ko jalao ye haq hai tumako
Meri baat aur hai maine to muhabbat ki hai.
Wednesday, October 29, 2014
Firaq Gorakhpuri Ghazal
Ab Aksar Chup-Chup Se Rahe HaiN YuuN Hi Kabahu Lab Khole HaiN
Pehle “Firaq” Ko Dekha Hota Ab To Bahut Kam Bole HaiN
Din MeiN Hum Ko Dekhne Waalo Apne Apne HaiN Auqaat
Jaao Na Tum In Khusk AankhoN Par Hum RaatoN Ko Ro Le HaiN
Fitrat Meri Ishq-O-Mohabbat Kismat Meri Tanhaai
Kahane Ki Naubat Hi Na Aayi Hum Bhi Kasu Ke Hole HaiN
Baag MeiN Wo Khwaab-Aavar Aalam Mauj-E-Sabaa Ke IshaaroN Par
Daali Daali Nauras Patte Sahas Sahaj Jab Dole HaiN
Uf Wo LaboN Par Mauj-E-Tabassum Jaise Karavatein Len KaundeiN
Haay Wo Aalam Jumbish-E-Mizagaan Jab Fitne Par Tole HaiN
In RaatoN Ko Harim-E-Naaz Kaa Ik Aalam Hoye Hai Nadiim
Khalvat MeiN Wo Narm Ungaliyaan Band-E-Qabaa Jab Khole HaiN
Gham Ka Fasaana Sunane Waalo Aakhir-E-Shab Aaraam Karo
Kal Ye Kahaani Phir Chhedenge Hum Bhi Zara Ab So Le HaiN
Hum Log Ab To Paraaye Se HaiN Kuchh To Bataao Haal-E-”Firaq”
Ab To Tumhi Ko Pyaar Kare HaiN Ab To Tumhi Se Bole HaiN.
Subscribe to:
Posts (Atom)