waiz4u Shayari: March 2015 expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Tuesday, March 31, 2015

Maut se pehle bhi ek maut hoti hai,



Maut se pehle bhi ek maut hoti hai,
Dekho tum kisi apne se judaa hokar...




Wohi Muntazir NigaheiN Wohi Sham-e-Gham ka alam,




Wohi Muntazir NigaheiN Wohi Sham-e-Gham ka alam,
MaiN Aazal se tak rahi hooN teri Wapsi ki RaheiN....





Us ne mere ZhakhmoN ka yuN kiya ilaaj,



Us ne mere ZhakhmoN ka yuN kiya ilaaj,
Marham bhi lagaya to kaantoN ki nok se...




Ab ke kuchh aise bichhde haiN bisat-e-gham-e-ishq



Ab ke kuchh aise bichhde haiN bisat-e-gham-e-ishq
Wo jo dil haar ke aate the wo jaan haar aaye...




Likha hai mera naam samundar pe hawa ne,



Likha hai mera naam samundar pe hawa ne,
Aur donoN ki fitrat meiN na sukooN hai na wafa hai...





Wo tha to kahiN waqt thehrta hi na tha,



Wo tha to kahiN waqt thehrta hi na tha,
Ab waqt guzarne meiN bahot waqt lagta hai...





Mujhe Khairaat Me Mili KhushiyaaN Achchi Nahi Lagti,




Mujhe Khairaat Me Mili KhushiyaaN Achchi Nahi Lagti,
MaiN Apne GhamoN Me Rehta HooN NawaboN Ki Tarah. . . 





Waqt ke saath badalne ka hunar to har koi rakhta hai,



Waqt ke saath badalne ka hunar to har koi rakhta hai,
Maza to tab aaye ke waqt badal jaye aur insan na badle...





Mere haathoN ki lakiroN meiN ye aib Chhupa hai “Saqi’




Mere haathoN ki lakiroN meiN ye aib Chhupa hai “Saqi’
MaiN jise chaah looN wo mera nahiN rehta...






Us shaks ko paana itna mushkil bhi nahi,


Us shaks ko paana itna mushkil bhi nahi,
Magar jab tak doori na ho mohabbat ka maza nahi aata...





Kar kar Ke Minnate Teri Adat Bigaad Di


Kar kar  Ke Minnate Teri Adat Bigaad Di,
Zalim Humne Tujhe Sitamgar Bana Diya...




Aziyat Bana raha tamaam umar yehi ek sawaal,


Aziyat Bana raha tamaam umar yehi ek sawaal,
Sab ka saath nibhane wale khud kyuN tanha reh jate haiN...






Janaza mera rok kar wo is Andaz se bole "Faraz"



Janaza mera rok kar wo is Andaz se bole "Faraz",
Humne gali ka kaha tha tum to duniya chhod gaye...






Monday, March 30, 2015

Chandni Raat Ke Khamosh SitaroN ki Kasam,



Chandni Raat Ke Khamosh SitaroN ki Kasam,
Dill MeiN Ab Tere Siwa Koi Bhi Aabaad Nhi...





Jhooti tasaliyoN ke siwa kuchh na de saka




Jhooti tasaliyoN ke siwa kuchh na de saka
Kismat ka devta bhi shayed ghareeb tha...



Kuchh is tarah wo meri zindagi meiN aaya tha,



Kuchh is tarah wo meri zindagi meiN aaya tha,
Ki mera hote huye bhi, bas ek saaya tha.

Hawaa meiN udne ki dhun ne ye din dikhaaya tha,
udaan meri thi, lekin safar paraaya tha.

Ye kaun raah dikha kar chala gaya mujh ko,
MaiN zindagi meiN bhala kis ke kaam aaya tha.

MaiN apne waade pe qaayam na reh saka warna,
wo thodi door ja kar to laut aaya tha.

Na ab wo ghar hai, na uske log yaad ‘wasim',
Na jaane us ne kahaN se mujhe churaaya tha.





A Beautiful Ghazal By "Waseem Barelvi".



Tujh ko socha to pata ho gaya ruswaayi ko,
Maine mehfooz samajh rakha tha tanhaayi ko.

Jism ki chaah lakeeroN se ada karta hai,
khaaq samjhega musawwir teri angdaayi ko.

Apni dariyaayi pe itra na bahut aiye dariya,
Ek qatra hi bahut hai teri ruswaaui ko.

Chaahe jitna bhi bigad jaaye zamaane ka chalan,
Jhooth se haarte dekha nahiN sacchaayi ko.

Saath maujoN ke sabhi ho jahaaN behne waale,
Kaun samjhega samandar teri gehraayi ko.





Tujhse Koi Wasta To Nahi Hai Lekin,



Tujhse Koi Wasta To Nahi Hai Lekin,
Tere Hisse Ka Waqt Aaj Bhi Tanha Hi Guzarta Hai....





Tuesday, March 10, 2015

Monday, March 9, 2015

Wo Keh Rahi Thi Samundar NahiN HaiN AankheiN HaiN

 
 
 
Wo Keh Rahi Thi Samundar NahiN HaiN AankheiN HaiN,
MaiN Un MeiN Doob Gaya Aitbaar Karte Huye... 
 
Wasi Shah








Thursday, March 5, 2015

Ravindra Prabhat_Mann meiN ummidoN ki chaahat bharo

 
Mann meiN ummidoN ki chaahat bharo,
Daro na kisi se khudse daro,
 
Yehi Zindagi ka sahi falsafa hai, 
Pyaar Jisse karo Doob Kar ke karo....


Ravindra Prabhat




Na uda yuN thokroN se Meri Khak-e-qabra zaalim,



Na uda yuN thokroN se Meri Khak-e-qabra zaalim,
Yehi Ek Reh Gayi hai Mere Pyaar Ki Nishaani...







 

Wednesday, March 4, 2015

Duniya me hooN duniya ka talabgaar nahi hooN



Duniya me hooN duniya  ka talabgaar nahi hooN,
Baazar se guzra hooN magar kharidaar nahi hooN.











Tuesday, March 3, 2015

Sunday, March 1, 2015

MaiN khayaal hooN kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai




MaiN khayaal hooN kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai
Sar-e-aaina mera aks hai pas-e-aaina koi aur hai,

MaiN kisi ke dast-e-talab mein hun to kisi ke harf-e-dua meiN hooN
MaiN naseeb hun kisi aur ka mujhe maangta koi aur hai,

Kabhi laut aayeiN to na poochhna sirf dekhna bade ghaur se
JinheiN raaste meiN khabar hui ki ye raastaa koi aur hai,

Ajab aitbaar-o-be-aitbaari ke darmiyaaN hai zindagi
MaiN qariib hooN kisi aur ke mujhe jaantaa koi aur hai ,

Wahi munsifon ki rivaayateiN wahi faisloN ki ibaarateiN
Mera jurm to koi aur tha par meri sazaa koi aur hai,

Teri roshni meri khaddo-khaal se mukhtalif to nahiN magar
Tu qariib aa tujhe dekh looN tu wahi hai yaa koi aur hai,

Jo meri riyaazat-e-niim-shab ko “Saleem” subah na mil saki
To phir iske maani to ye huye ke yahaaN khudaa koi aur hai.



Mehdi Hasan






Kisi ke naam mehboob ye imarat thi



Kisi ke naam mehboob ye imarat thi,
Badan sarai nahi jo har koi thaher jata....



Nice Quote_We don't need to rush...



We don't need to rush. If somethings bound to happen,
it will happen. In the right time,
with the right person and for the best reason..





Aur zamanat wafa ki kya hogi...



Aur zamanat wafa ki kya hogi,,
Tum meri saans girwi rakhlo...





"Angdaai" bhi na lene paaye wo utha ke haath,



"Angdaai" bhi na lene paaye wo utha ke haath,
Dekha hume to muskura ke chhod diya haath...








Awesome Shayari On Angdaai




Chheke se jo maine koi cheez utarwai,
Kaam ka kaam hua "Angdaai" ki "Angdaai"...






Ragh-e-jaaN Khinch Gayi,Mu Surkh Hua jaata Hai,





Ragh-e-jaaN Khinch Gayi,Mu Surkh Hua jaata Hai,

Itni Pyaari mere mehboob ki "Angdaai" hai...





Ye kya jaane me jaana hai, jaate ho Khafa ho kar



Ye kya jaane me jaana hai, jaate ho Khafa ho kar ,

MaiN tab jaanu mere dil se chale jaao Juda ho kar...




Wo to aaj bhi hume dekh kar muskurate haiN,_A Funny Shayari




Wo to aaj bhi hume dekh kar muskurate haiN,

Par unke bachche hi kamine hai jo MAAMU MAAMU bulate haiN...









A Beautiful Shayari "Nigaah" By Ahmed Faraz



Hazar baar marna chaaha nigaahoN meiN doob kar humne "Faraz"

Wo nigaaheiN jhuka leti hai humeiN marne naheeN deti.......






Kashish to bahut thi humare payar me_Sad Love Poetry



Kashish to bahut thi humare pyar me,
Kya karooN koi patthar pighalta hi nahi,

Agar khuda mile to us se apna pyar maangunga,
Par suna hai wo marne se pehle kisi se milta hi nahi...






TU HI CHAAHE TO MUJHE ROK LE BADHKAR WARNA




TU HI CHAAHE TO MUJHE ROK LE BADHKAR WARNA,,

MERE JAANE SE TERE SHAHER KA KYA JAATA HAI...






Badle Badle Se Sarkaar Nazar Ate HaiN,




Badle Badle Se Sarkaar Nazar Ate HaiN,

APNI BARBAADI KE AASAAR NAZAR ATE HAIN..









Na jane kya kaha usne haule se phone par,


Na jane kya kaha usne haule se phone par,

Bekhudi me hath se chai ki pyali chhalak gai..




Wo laila-majnu ki muhbbat ki sheeri-farhad ki ho ulfat,,



Wo laila-majnu ki muhbbat ki sheeri-farhad ki ho ulfat,,
Zara si "tum" jo dikhao "zurrat" to humbhi un jaisa kaam karleiN..




Ghar ka darwaza khula rakha hai



Ghar ka darwaza khula rakha hai,
Waqt mil jaye to zehmat karna...




Chehre pe mere zulf ko phailao kisi din






Chehre pe mere zulf ko phailao kisi din,
Kya roz garajte ho baras jaao kisi din







Jo jurm muhabbat me tujhe mera bana de,


Jo jurm muhabbat me tujhe mera bana de,
Aisi hi koi pyaari saza maang raha hooN,,

Maloom hai tum ghair ke ho jaaoge jaana,
Phirbhi tumheiN paane ki dua maang raha hooN..