Friday, November 28, 2014
Thursday, November 27, 2014
Dr. Kumar Vishwas Poetry For NRIs
Har ek khone har ek paane meiN teri yaad aati hai
Namak aankhon meiN ghul jane mein teri yaad aati hai
Teri amrit bhari lehroN ko kya maloom ganga maa
Samandar paar viraane mein teri yaad aati hai,
KahiN khali pade aalind teri yaad aati hai
Subah ke khwaab ke manind teri yaad aati hai
Hello Hi hi sunkar to nahi aati magar humse
Koi kehta hai jab jai hind to teri yaad aati hai,
Koi dekhe janam patri to teri yaad aati hai
Koi brat rakh le savitri to teri yaad aati hai
Achanaak mushkiloN meiN haath jode aankh moonde jab
Koi gaata ho gayatri to teri yaad aati hai,
Sujhaye maaN jo mahurat to teri yaad aati hai
Hanse gar buddh ki murat to teri yaad aati hai
KahiN dollar ke peechhe chhip gaye bharat ke notoN par
Dikhe gandhi ki surat to teri yaad aati hai,
Agar mausam ho mann-bhawan to teri yaad aati hai
Jhehre meghoN se gar saawan to teri yaad aati hai
KahiN Rehman ki Jai Ho sunkar garv ke aansoo
Kare ankhoN ko jab paawan to teri yaad aati hai.
Wednesday, November 26, 2014
Ye teri berukhi ki hum se aadat khaas tutegi
ये तेरी बेरुखी की हमसे आदत खास टूटेगी,
कोई दरिया न ये समझे कि मेरी प्यास टूटेगी,
तेरे वादे का तू जाने मेरा वोही इरादा है,
कि जिस दिन साँस टूटेगी उस दिन आस टूटेगी
कुमार विश्वास
*************
Ye teri berukhi ki hum se aadat khaas tutegi,
Koi dariya na ye samjhe ke meri pyaas tutegi,
Tere wade ka tu jaane mera wohi iraada hai,
Ke jis din saans tutegi us din aas tutegi.....
Dr. Kumar Vishwas
Dr. Kumar Vishwas Poetry
Har ek khone har ek paane meiN teri yaad aati hai
Namak aankhon meiN ghul jane mein teri yaad aati hai
Teri amrit bhari lehroN ko kya maloom ganga maaN
Samandar paar viraane mein teri yaad aati hai,
KahiN khali pade aalind teri yaad aati hai
Subah ke khwaab ke manind teri yaad aati hai
Hello Hi hi sunkar to nahi aati magar humse
Koi kehta hai jab jai hind to teri yaad aati hai,
Koi dekhe janam patri to teri yaad aati hai
Koi brat rakh le savitri to teri yaad aati hai
Achanaak mushkiloN meiN haath jode aankh moonde jab
Koi gaata ho gayatri to teri yaad aati hai,
Sujhaye maaN jo mahurat to teri yaad aati hai
Hanse gar buddh ki murat to teri yaad aati hai
KahiN dollar ke peechhe chhip gaye bharat ke notoN par
Dikhe gandhi ki surat to teri yaad aati hai,
Agar mausam ho man bhawan to teri yaad aati hai
Jhehre meghoN se gar saawan to teri yaad aati hai
KahiN Rehman ki Jai Ho sunkar garv ke aansoo
Kare ankhoN ko jab paawan to teri yaad aati hai.
Tuesday, November 25, 2014
Koi samjhaaye ye kya rang hai maikhane ka- Lyrics: Allama Iqbal Singer: Ghulam Ali
Koi samjhaaye ye kya rang hai maikhane ka,
Aankh saaki ki uthe naam ho paimane ka,
Garmi-e-shama ka afsana sunaane waloN,
Raks dekha nahiN tumne abhi parwaane ka,
Chasm-e-saaki mujhe har gaam pe yaad aati hai,
Raasta bhool na jaauN kahiN maikhane ka,
Abto har shaam guzarti hai usi kooche meiN,
Ye natija hua na se tere samjhane ka,
Manzil-e-gham se guzarna to hai aasaaN 'Iqbal',
Ishq hai naam khud apne se guzar jaane ka.
Lyrics: Allama Iqbal
Singer: Ghulam Ali
Monday, November 24, 2014
KarvaN Guzar Gaya, Gubar Dekhte Rahe-Gopaldas 'Neeraj'
Swapna-Jhare Phool Se, Meet-Chubhe Shool Se,
Lut Gaye Singaar Sabhi Baag Ke Babool Se,
Aur Hum Khade-Khade Bahaar Dekhte Rahe,
KarvaN Guzar Gaya, Gubar Dekhte Rahe.
Neend Bhi Khuli Na Thi Ke Haaye Dhoop Dhal Gayi,
PaaoN Jab Talak Uthe Ke Zindagi Fisal Gayi,
Paat-Paat Jhar Gaye Ke Shaakh-Shaakh Jal Gayi,
Chaah To Nikal Saki Na Par Umar Nikal Gayi.
Geet Ashk Ban Gaye, Swapn Ho Dafan Gaye,
Saath Ke Sabhi Diye DhuaaN-DhuaaN Pehan Gaye,
Aur Hum Jhuke-Jhuke,Mod Par Ruke-Ruke,
Umar Ke Chadhaav Ka Utaar Dekhte Rahe,
KarvaN Guzar Gaya, Gubar Dekhte Rahe!
Kya Shabaab Tha Ke Phool-Phool Pyaar Kar Utha,
Kya kamaal Tha Ke Dekh Aina Sihar Utha,
Is Taraf Zameen Aur Asmaan Udhar Utha,
Thaam Kar Jigar Utha Ki Jo Mila Nazar Utha,
Ek Din Magar YahaaN, Aisee Kuchh Hawa Chali,
Lut Gayi Kali-Kali Ki Ghut Gayi Gali-Gali,
Aur Hum Lute-Lute, Waqt Se Pite-Pite,
Saans Ki Sharaab Ka Khumaar Dekhte Rahe,
KarvaN Guzar Gaya, Gubar Dekhte Rahe!
Haath The Mile Ke Zulf Chaand Ki Sanwaar DooN,
Honth The Khule Ke Har Bahaar Ko Pukaar DooN,
Dard Tha Diya Gaya Ke Har Dukhi Ko Pyaar DooN,
Aur Saand YuuN Ki Swarg Bhoomi Par Utaar DooN,
Ho Saka Na Kuchh Magar, Shaam Ban Gayi Seher,
Wo Uthi Lehar Ke Dheh Gaye Kile Bikhar-Bikhar,
Aur Hum Dare-Dare, Neer Nayan MeiN Bhare,
Odh-Kar Kafan Pade Mazaar Dekhte Rahe,
KarvaN Guzar Gaya, Gubar Dekhte Rahe!
Maang Bhar Chali Ke Ek Jab Nayi-Nayi Kiran,
Dholke Dhunak Uthi, Thumak Uthe Charan-Charan,
Shor Mach Gaya Ki Lo Chali Dulhan, Chali Dulhan,
GaaoN Sab Umad Pada, Behak Uthe Nayan-Nayan,
Par Tabhi Zehar Bhari,Gaaz Ek Wah Giri,
Punchh Gaya Sindoor, Taar-Taar Hui Choonri,
Aur Hum Ajaan Se, Door Ke Makaan Se,
Palki Kiye Hue Kahar Dekhte Rahe!
KarvaN Guzar Gaya, Gubar Dekhte Rahe!!
Gopaldas 'Neeraj'
Subscribe to:
Posts (Atom)