Kisi Se bolna aur dekhna achcha nahi lagta,
Tumhe dekha hai jabse, doosra achcha nahi lagta,
Tu meri arzoo hai haan meri justaju hai,
Jidhar bhi aankh utthe udhar bas tu hi tu hai
Tujhe paya hai jabse tu har dum ru-baru hai
Teri aankhoN me jabse maine apna aks dekha hai
Mere chehre ko koi aaina achcha nahi lagta,
Khushi ko bhool jaaye sada sadme uthaye
Muhabbat se bhi pehle ghamo se dil lagaye
Ye sab kar sake jo wo is basti me aaye
YahaaN ahl-e-muhabbat umra bhar barbaad rehte haiN
Ye dariya hai ise kachcha ghada achcha nahi lagta,
Na chaahat zindaghi ki khushi hai tab khushi ki
AndheroN ki na parwah na khwahish raushni ki
Tamanna ab kahaaN hai kisi se dosti ki
Mai ab chaahat ki us manzil pe aa pahuchi hooN 'rehana'
Teri jaanib koi dekhe mujhe achcha nahi lagta.

No comments:
Post a Comment