Aaj ik harf ko dhoondta firta hai khayal,
Madhu bhara harf koi,zehar bhara harf koi,
Dilnashi harf koi ,kehar bhara harf koi,
Harf-e-ulfat koi dildaar nazar ho jaise,
Jisse milti hai nazar bosa-e-lab ki soorat,
Itna roshan ki sar-e-mauj-e-zar ho jaise,
Sohbat-e-yaar meiN aagaz-e-tarab ki soorat,
Harf-e-nafrat koi Shamshir -e-gazab ho jaise,
Taa abad-e-esitam jisse tabah ho jaayeiN,
Itna tareek ki shamshaan ki shab ho jaise,
Lab pe laauN to mere honth syaah ho jaayeiN.
No comments:
Post a Comment