Tapish suraj ki hoti hai, Jalna zameen ko padta hai
Kasur ankhoN ka hota hai, Tadpana dil ko padta hai...
Baghair jane pehchane iqrar na kijiye,
Muskura kar diloko bekar na kijiye,
Phool bhi de jate haiN zakham gahere kabhi kabhi,
Har phool par yuN aitbar na kijiye...
Jab jab aapse milane ki ummid nazar aayi,
Mere paanw me zanjir nazar aayi,
Gir pade aansu aakhoN se ,
Aur har ek aansu mai aapki tasvir nazar aayi..
Khushi ko dhundhne se gham milte haiN,
ye gham zindagi meiN hardam milte haiN,
Jo dil ke saare dard baat leiN,
Aise log zindagi meiN kam milte haiN...
Firte haiN Wo zamaane ki talaash meiN,
Bas humare liye unhe waqt nahi milta...
AnkhoN me aansu aa jate haiN
Phir bhi laboN pe hasi rakhni padti hai,
ye muhabbat bhi kya chiz hai yaaroN
Jise chaahte haiN usi se chhupani padti hai !
Teri yaad me aansuoN ka samandar bana liya,
Tanhai ke shaher me apna ghar bana liya,
Suna hai log pujte haiN patther ko,
Is liye dil apna patther bana liya.
Zindagi Ne Sab Kuch Diya
Par Wafa Na Di
Zakhm Diye Sab Ne
Par Kisi Ne Dawa Na Di
Hum Ne To Sab Ko Apna Mana
Par Kisi Ne Muje Apno Me Jagah Na Di...
Tum gaye to har khushi chali gayi,
Tumhare bina chiraagoN Se roshni chali gayi
Kya kahooN kya guzri is dil pe
Tere bina hum Zinda to reh gaye,
Par zindagi chali gayi...
No comments:
Post a Comment