Nazar ne 'nazar' se mulakaat karli
Rahe dono chup par baat karli...
Maine jis but pe 'nazar' daali junoon-e-shauq meiN,
Dekhta kya hooN, wo tera hi sarapa ho gaya....
Door ufaq paar chamakti hui qatra-qatra,
Gir rahi hai teri dil-daar 'nazar' ki shabnam...
( Ufaq = away )
Mili jab unse 'nazar', bas raha tha ik jahaaN
Hati nigaahe to chaaro taraf the veeraane...
Hati nigaahe to chaaro taraf the veeraane...
Majrooh
Meri nazar se na ho door ek pal ke liye,
Tera wajood hai laazim meri Ghazal ke liye...
No comments:
Post a Comment