waiz4u Shayari: Ye baatein jhooti baatein hain, Lyrics Ibn-e-Insha expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Ye baatein jhooti baatein hain, Lyrics Ibn-e-Insha








Ye baatein jhuti baatein hain,
ye logon ne phaiayi hain,
Tum 'insha' ji ka naam na lo,
Kya inshaji saudayi hain,

Hain laakhon rog zamane mein,
Kyun ishq hai rusva bechara,
Hain aur bhi wajahe wehshat ki,
Insaan ko rakhti dukhiyara,
Haan bekal bekal rehta hai 
Wo preet mein jisne dil hara,
Par shaam se lekar subah talak,
Yuun kaun phire hai aawara,
Ye Batein jhuti...

Gar ishq kiya hai to tab kya hai,
Kyun shaad nahin aabaad nahin,
Jo jaam liye bin chal na sake,
Ye  aisi bhi ustaad nahin,
Ye baat to tumbhi maanoge,
Wo kaish nahin farhaad nahin,
Kya hijra ka daur mushkil hai,
Kya vasi-mustein yaad nahin,
Ye baatein jhuti.....

Jo hum se kaho hum karte hain,
Kya insha ko samjhaana hai,
Us ladki se bhi keh leinge,
Go ab kuchh aur zamana hai,
Ye chhodein ya tmkeel karein,
Ye ishq hai ya afzaana hai,
Ye kaisa gorkh dhanda hai,
Ye kaisa tana-bana hai,
Ye batein jhuti baatein hain..




No comments:

Post a Comment