Ye mere ishq kii majaburiyaN maaz-allaah
Tumhara raaz tumhiN se chhupa raha hooN maiN...
AasmaaN tak jo naalaa pahuNchaa hai
Dil kii gehraayioN se nikla hai...
Ab apni wafa ka ye aalam hai, unki wafa ko kya kahiye,
Ek nashtar-e-zeher aageeN rakh kar sarhaane, rag-e-jaaN bhool gaye...
Jo taaq-e-haram meiN roshan hai, wo shamaa yahaaN bhii jalti hai
Is dasht ke goshe-goshe se, ek juu-e-hayaat ubalti hai...
Wo gudaaz-e-dil-e-marhoom kahaN se laauN
Ab maiN Wo jazba-e-masoom kahaN se laauN
Mujhe sune na koi mast-e-baada-e-isharat,
'Majaz' toote huye dil ki ik sadaa hooN maiN...
Meri nazroN meiN hashr bhi kyaa hai,
MaiN ne unka jalaal dekhaa hai...
No comments:
Post a Comment