waiz4u Shayari: Yehi Zindagi Hai...? A Short Story expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Yehi Zindagi Hai...? A Short Story

Hum jab subah office jate haiN to hume  rikshe se
metro station jana hota hai,Kareeb 15 minut ka rasta hai.Raaste me ek jagah hai,Jo road se thodi uchaayi par hai jisme ghaans aur jhadiyaaN wagarah haiN. Us unchi si jagah par aage ki taraf thodi saaf jagah hai.
           Kaafi pehle ki baat hai..Us khali jagah me ek White color ka ghodoN ka joda bandha rehta tha...Us jode ke saath unka chhota baccha bhi tha...Wo bachcha bhi white tha..bahot pyaara sa..

     Wo Bachcha bahot furtila tha...Humesha uchhalta-koodta rehta tha...Idhar se udhr bhagta rehta tha
                 Kabhi zor se daud laga ke jhadiyoN me ghus jaata tha...Fir wahaaN se bhgta huya aata tha...To kabhi uchhalta huya us uchi jagah se niche kood jata aur road pe door tak daud jata,fir wapas tezi se daud ke upar chadh jata tha...Kabhi wo un ghodoN ke pairoN ke niche se guzar jata tha... Aur kabhi kabhi to door se daudte huye ata tha aur un dono se lad jata tha.Humesha masti me rehta tha....

     Jab bhi hum office jaate to us bachche ko dekhte huye jaate...us bachche ko hum thodi der ke liye hi dekh pate the...Par un chand secondoN me wo roz kuchh na kuchh naya karta tha...Use dekh kar ek ajeeb sa ehsaas hota tha, Ajeeb sa sukoon milta tha...Khushi milti thi...
      Use yuN uchhalte-koodte dekhne ki aadat si ho gayi thi meri, Jab bhi udhar se guzarte to use dekhte huye guzarte.....

   Ek din jab hum udhar se guzar rahe the to humne roz ki tarah udhar dekha jahaaN wo bachcha masti karta rehta tha...Par aaj hume wo jagah khali dikhi. WahaaN koi nahi tha.Na wo bachcha aur na wo joda...Hume laga ho sakta hai aaj kahiN aur baandh diya hoga unke mailk ne..Ya fir kahiN chale gaye honge kal aa jayeiNge...Par aisa huya nahi...Kayi din tak lagatar hume wahaaN koi nazar nahi aaya..Kayi din aisa hi raha to hume lagne laga ki ho sakta hai jinka hoga usne unko bech diya hoga ya fir wo log kahiN chale gaye honge un ghodoN ko lekar....

        Kai mahino ke baad ek din achanak ghodoN ka joda wapas aa gaya aur unke saath wo chhota bachcha bhi tha..Badi khusi huyi unko wapas wahaaN dekh kar...Khas kar us bachche ke wapas aane se..Ab wo bachca bada ho gaya tha..Aur ab wo bachcha pehle ki tarah uchhal
kood nahi raha tha....Kayi din aise hi guzar gaye,par wo waise hi khada rehta tha..Chup-chaap...Bas apni pooch ko halke-halke hilata rehta tha.Aisa lagta tha jaise ab wo chup-chap khade ho kar kuchh soch raha ho...Jaise usepata chal gaya ho ki ab wo bada ho gaya hai aur kisi bhi din use bhi kaam par laga diya jayega.. Mano wo chup-chaap khade ho kar apni baari ka intezar kar raha ho...

  Tab Usko dekhkar ehsaas huya ki hum sab bhi to usi ki tarah haiN..Jab hum chhote hote haiN.Tab na koi fikra hoti hai aur na hi kisi baat ki parwah...Par jaise -jaise bade hote haiN zimmedariyoN ka bojh badhta jaata hai,Aur is bojh tale humara sabkuch dab kar reh jata hai..Aur hum  us Ghode Ke Chhote Bachche ki tarah hai.. Jo ab bada ho gaya hai..Aur usi ki tarah hume bhi apni zimmedariyoN ka bojh umra bhar dhote rehna hoga...

Yehi Zindagi hai...?









Please leave a comment...
Thank You




Wasim Ahmad Siddiqui

No comments:

Post a Comment