waiz4u Shayari: Nasir Kazmi Best Romantic Ghazal expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Nasir Kazmi Best Romantic Ghazal


Aaj un rastoN pe tanhai ki dhool udti hai
Jo tere naqsh-e-kaf-e-pa se saja karte the


Gham hai ya khushi hai tu
Meri zindagi hai tu

AafatoN ke daur meiN
Chain ki ghadi hai tu

Meri raat ka chirag
Meri neend bhi hai tu

MaiN khizaaN ki shaam hooN
Rut bahaar ki hai tu

DostoN ke darmiyaaN
Vajh-e-dostii hai tu

Meri saari umr meiN
Ek hi kami hai tu

MaiN to Wo nahiN raha
HaaN! Magar wohi hai tu

 “Nasir” is dayaar meiN
Kitna ajnabi hai tu.


Nasir Kazmi



No comments:

Post a Comment