Unke dekhe se jo aa jaati hai moonH par raunaq
Wo samajhteiN haiN ki beemaar ka haal achcha hai...
RagoN meiN daudte firne ke hum naheeN qaayal,
Jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?
Aah ko chaahiye ik umar asar hone tak,
kaun jeeta hai teri zulf ke sar hone tak ?
GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz,
Shamma'a har rang meiN jaltee hai saher hone tak..
Qaasid ke aate aate khat ik aur likh rakhooN,
Main jaanta hooN jo wo liKheinge jawaab meiN..
Aisa aasaaN naheeN lahoo rona,
Dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN ?..
Go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai,
Rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage..
Huee muddat ke 'Ghalib' mar gaya par yaad aata hai,
Wo har ek baat pe kehna, ke yooN hota to kya hota ...?
No comments:
Post a Comment