Jhoote qaside likhe gaye us ki shaan me,
Jo motiyoN se chheen ke sachchai le gaya
YadoN ki ek bheed mere saath chhod kar
Kya jaane wo kahaaN meri tanhai le gaya
Ab asad tumhare liye kuchh nahi raha
GaliyoN ke sare sang to saudai le gaya
Ab to khud apani saanseiN bhi lagti haiN bojh si
UmroN ka dev sari tawanaai le gaya
Rahat Indori
PeshaniyoN pe likhe muqaddar nahi mile
Dastar kahan mileiNge jahaaN sar nahi mile
Awaragi ko doobte suraj se rabt hai
Maghrib ke bad hum bhi to ghar par nahi mile
Kal aainoN ka jashn hua tha tamam raat
Andhe tamashbinoN ko patthar nahi mile
MaiN chahata tha khud se mulaqat ho magar
Aaine mere qad ke barabar nahi mile
Pardes ja rahe ho to sab dekhate chalo
Mumkin hai wapas aao to ye ghar nahi mile
Rahat Indori
Dosti jab kisi se ki jaye,
DushmanoN ki bhi raaye li jaye,
Maut ka zaher hai fizaoN meiN,
Ab kahaaN ja ke ssans li jaye,
Bas isi soch meiN hooN dooba hua,
Ye nadi kaise paar ki jaye,
Mere mazi ke zakhm bharne lage
Aaj phir koi bhool ki jaye
BotleiN khol ke to pi barsoN
Aj dil khol ke bhi pi jaye
Rahat Indori
No comments:
Post a Comment