Phir Kuch Is Dil Ko Beqarari Hai
Sina Zoya-e-zakhm-e-kari Hai
Phir Jigar Khodne Laga Nakhun
Amad-e-fasl-e-lalakari Hai
Qibla-e-maqsad-e-nigah-e-niyaz
Phir Wahi Parda-e-ammari Hai
Chashm-e-dallal-e-jins-e-ruswai
Dil Kharidar-e-zauq-e-khwari Hai
Wahi Sadrang Nala Farsai
Wahi Sadguna Ashqbari Hai
Dil Hawa-e-khiram-e-naz Se Phir
Mahshristan-e-beqarari Hai
Jalwa Phir Arz-e-naz Karta Hai
Roz-e-bazar-e-jansupari Hai
Phir Usi Bewafa Pe Marte HaiN
Phir Wahi Zindagi Hamari Hai
Phir Khula Hai Dar-e-adalat-e-naz
Garm Bazar-e-faujdari Hai
Ho Raha Hai JahaN MeiN Andhera
Zulf Ki Phir Sarishtadari Hai
Phir Diya Para-e-jigar Ne Sawal
Ek Fariyad-o-ah-o-zari Hai
Phir Hue HaiN Gawah-e-ishq Talab
Ashqbari Ka Hukmzari Hai
Dil-o-mizshgan Ka Jo Muqadma Tha
Aj Phir Us Ki Rubqari Hai
Bekhudi Besabab Nahi ‘ghalib’
Kuch To Hai Jis Ki Pardadari Hai
Ghalib
Zindagi me to sabhi pyaar kiya karte haiN
Main to mar ke bhi meri jaan tujhe chahuNga
Tu mila hai to ehsaas hua hai mujhko
Ye meri umra muhabbat ke liye thodi hai
Ik zara saa gam-e-dauraN ka bhi haq hai jispar
Maine wo saaNs bhi tere liye rakh chhodi hai
Tujhpe ho jaaooNga qurbaan tujhe chahuNga
MaiN to mar ke bhi meri jaan tujhe chahunga...
Apne jazbaat meiN nagmaat rachaane ke liye
Maine dhadkan ki tarah dil meiN basaya hai tujhe
MaiN tasav-vur bhi judaai ka bhala kaise karooN
Maine qimsat ki lakiroN se churaaya hai tujhe
Pyaar ka ban ke nigehbaan tujhe chahuga
MaiN to mar ke bhi meri jaan tujhe chahuNga..
Dil ki deewaroN dar pe kya dekha
Bas tera naam hi likha dekha
Teri aankhoN meiN humne kya dekha
Kabhi qaatil kabhi khuda dekha
Apni surat lagi paraayi si
Jab kabhi humne aaina dekha
Haye andaaz tere rukne ka
Waqt ko bhi ruka ruka dekha
Tere jaane meiN aur aane meiN
Humne sadiyoN ka faasla dekha
Phir na aaya khayaal jannat ka
Jab tere ghar ka raasta dekha
No comments:
Post a Comment