waiz4u Shayari: AakheiN khuli raheiNgi toh manzar bhi ayeiNge.... expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Thursday, September 4, 2014

AakheiN khuli raheiNgi toh manzar bhi ayeiNge....

AakheiN khuli raheiNgi toh manzar bhi ayeiNge,


Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayeiNge,



Pehchaan lo tamaam faqeeroN ke khadd-o-khaal,



Kuch log shab ko bhes badal kar bhi ayeiNge,



Gehri khamosh jheel ke paani ko yuN na chhed,



CheeNthe ude to teri qaba par bhi ayeiNge,



Khud ko chhupa na sheesha garoN ki dukhaan me,



Sheeshe chamak rahe haiN toh patthar bhi ayeiNge,



Aye shehr-yaar dasht se fursat nahi — magar,



Nikle safar pe hum toh tere ghar bhi ayeiNge,



'Mohsin' abhi saba ki sakhawat pe khush na ho,



Jhonke yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayeiNge…



                ♥♥♥




No comments:

Post a Comment