waiz4u Shayari: Faraz' ab koi sauda koi junooN bhi nahiN expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Friday, September 19, 2014

Faraz' ab koi sauda koi junooN bhi nahiN

'Faraz' ab koi sauda koi junooN bhi nahiN,
Magar qaraar se din katt rahe hoN yuuN bhi nahiN,
Lab-o-dahan bhi mila gufta-gu ka fan bhi mila,
Magar jo dil pe guzarti hai keh sukooN bhi nahiN,
Meri zubaaN ki luknat se badgumaaN na ho,
Jo tu kahe to tujhe umra bhar miluN bhi nahiN
'Faraz' jaise koi diya turbat-e-havaa chahe hai,
Tu paas aaye to mumkin hai maiN rahooN bhi nahiN 

 ( dahan = mouth, luknat = stammering, turbat = tomb )



No comments:

Post a Comment