Wo pehle pehal donoN jaanib,
Ada be-talluq nazar meharmaana,
Nazar uthte-uthte nazar milte-milte,
Dhadakte diloN ka wo Nazuq fasana,
Haya me wo maasoomsi ik shararat,
Shararat me mohoom sa ik fasana,
Wo afsa-e-raz-eulfat ki khaatir,
kabhi kuchh bahana kabhi kuchh bahana,
Junoon-e-mukammal ka ik aalam,
Sukoot-e-musalsal ka bhi ik zamana....
meharmaana-chhupi hui
mohoom-halki si
afsa-e-raz-eulfat-muhabbat ka raaz chhupane ke liye
Sukoot-e-musalsal-lagatar khamoshi
No comments:
Post a Comment