Agar talaash karooN koi mil hi jayega
Magar tumhari tarah kaun mujhko chahega
TumheiN zaroor koi chahatoN se dekhega
Magar wo aankheiN hamaari kahaaN se layega
Magar wo aankheiN hamaari kahaaN se layega
Na jaane kab tere dil par nai si dastak ho
MakaaN khali hua hai to koi ayega
MakaaN khali hua hai to koi ayega
MaiN apni raah meiN deewar ban ke baitha hooN
Agar wo aaya to kis raaste se ayega
Agar wo aaya to kis raaste se ayega
Tumhare saath ye mausam farishtoN jaisa hai
Tumhare baad ye mausam bahut sataayega.
Tumhare baad ye mausam bahut sataayega.
Bashir Badr
No comments:
Post a Comment