Ab ke hum bichhde to shaayad kabhii KhwaaboN meiN mileiN
Jis tarah sookhe huye phool kitaaboN meiN mileiN
Dhoondh ujde huye logoN meiN Wafaa ke motii
Ye Khazaane tujhe mumkin hai KharaaboN meiN mileiN
Tuu Khudaa hai na meraa ishq farishtoN jaisaa
DonoN insaaN haiN to kyoN itne hijaaboN meiN mileiN
Gham-e-duniyaa bhi Gham-e-yaar meiN shaamil karlo
Nashaa badhtaa hai sharabeiN jo sharaaboN meiN mileiN
Aaj hum daar pe kheinche gaye jin baatoN par
Kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaaboN meiN mileiN
Ab na Wo maiN hooN na tu hai na wo maazii hai `Faraz’,
Jaise do shaKhs tamannaa ke saraaboN meiN mileiN.
No comments:
Post a Comment