Almari se khat uske purane nikal aaye
Phirse mere chehre pe daane nikal aaye
Phirse mere chehre pe daane nikal aaye
Maa baith ke takti thi jahaaN se mera raasta
Mitti ke hatate hi khazane nikal aaye
Mitti ke hatate hi khazane nikal aaye
Mumqin hai hume gaanv bhi pehchan na paye
Bachpan me hi hum ghar se kamane nikal aaye
Bachpan me hi hum ghar se kamane nikal aaye
Bosida kitaaboN ke warq jaise hain hum log
Jab hukam diya humko kamane nikal aaye
Jab hukam diya humko kamane nikal aaye
Aiye ret ke zarre tera ehsaan bahut hai
AankhoN ko bhigone ke bahane nikal aaye
AankhoN ko bhigone ke bahane nikal aaye
Ab tere bulane se bhi aa nahi sakte
Hum tujhse bahut aage zamane nikal aaye
Hum tujhse bahut aage zamane nikal aaye
Ek khauf sa rehta hai mere dil me humesha
Kis ghar se teri yaad na jane nikal aaye.
Kis ghar se teri yaad na jane nikal aaye.
No comments:
Post a Comment