Jo meri aankhoN se khuwaab dekho
To ek shab bhi na so sakoge
Ke laakh chaaho na hans sakoge
Hazaar chaaho na ro sakoge
Ke khuwaab kya haiN azaab haiN ye
Mere dukhoN ki kitaab haiN ye
RifaaqateiN inme chhoot-ti haiN
MuhabbateiN inme roothti haiN
Panapti haiN inme wehshateiN si
Azeeayaten inme phoot-ti haiN
Inhi ke dar se khizaan haiN jazbe
Inhi se shaakheiN si toot-ti haiN
GhamoN ki bandish haiN khwaab mere
DukhoN ki barish haiN khwaab mere
Ubal raha hai dukhoN ka laawa
Raheen-e-aatish haiN khwaab mere
Khayal saare jhulas gaye haiN
Sulagti khwaahish haiN khwaab mere
Ukharti saanseiN haiN zindagi ki
Lahoo ki saazish haiN khwaab mere
Jo meri aankhoN se khwaab dekho
To ek shab bhi na so sakoge
Wasi shah
No comments:
Post a Comment