Ishq ka raaz gar na khul jaata,
Is kadar tu na humse, sharmata..
Aa ke tab baithta hai wo humpaas,
Aap meiN jab humeiN, nahiN paata..
Zindagi ne wafa na ki warna,
MaiN tamasha wafa ka, dikhlata..
Mar gaye hum to kehte-kehte apna haal,
Kuch to tu bhi zabaan se, farmataa..
MaiN na sunta kisi ki baat 'hasan',
Dil jo baateiN na mujhko, sunwata..
No comments:
Post a Comment