waiz4u Shayari: "Kangan" A Best "Nazam" By Wasi Shah expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Wednesday, October 15, 2014

"Kangan" A Best "Nazam" By Wasi Shah


Kangan

Kaash Mai Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota

Tu Bade Pyaar Se, Chaao Se, Bade Maan Ke Saath

Apni Nazuk Si Kalaii Me Chadhaati Mujh Ko

Aur Betaabi Se Furqat Ke KhizaaN LamhoN MeiN

Tu Kisi Soch Me Doobi Jo Ghumati Mujh Ko

Mai Tere Haath Ki Khushboo Se Mehek Sa Jata

Jab Kabhi Mood Me Aa Kar Mujhe Chuma Karti

Tere HontoN Ki Mai Hiddat Se Dehek Sa Jata

Raat Ko Jab Bhi Tu NeendoN Ke Safar Par Jaati

MarmareeN Haath Ka Ik Takiya Banaya Karti

Mai Tere Kaan Se Lag Kar Kai BaateiN Karta

Teri ZulfoN Ko Tere Gaal Ko Chuma Karta

Jab Bhi Tu Band Qiba Kholne Lagti Janaa

Apni AnkhoN Ko Tere Husn Se Kheera Karta

Mujh Ko Betaab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha

Mai Teri Rooh Ke Gulshan Me Mehakta Rehta

Mai Tere Jism Ke Aangan Me Khanakta Rehta

Kuchh Nahi To Yahi Benaam Sa Bandhan Hota

Kash Mai Tere HaseeN Hath Ka Kangan Hota.


                                                                      Wasi shah

No comments:

Post a Comment