Log toot jaate haiN, ek ghar banaane meiN
Tum taras nahiN khaate, bastiyaaN jalaane meiN

Aur jaam tooteinge, is sharaabkhaane meiN
MausmoN ke aane meiN, mausmoN ke jaane meiN

Har dhadakte patthar ko, log dil samajhte haiN
Umar beet jaati haiN, dil ko dil banaane meiN

Fakhtaa ki majboori, ye bhi keh nahiN sakti
Kaun saanp rakhta haiN, uske aashiyane meiN

Doosri koi ladki, zinadgi meiN aayegi
kitni der lagti haiN, usko bhool jane meiN

Bashir Badr
No comments:
Post a Comment