waiz4u Shayari: Mere Humnafas, Mere Humnawa-Sung By Farida Khanum-Shakeel Badayuni Ghazal expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Monday, October 27, 2014

Mere Humnafas, Mere Humnawa-Sung By Farida Khanum-Shakeel Badayuni Ghazal

Mere Humnafas, Mere Humnawaa,
Mujhe Dost Ban Ke Daga Na De
MaiN HooN Dard-e-Ishq Se Jaan-Valab,
Mujhe Zindagi Ki Dua Na De
 
Mere Daagh-e-Dil Se Hai Roshni,
Isi Roshni Se Hai Zindagi
Mujhe Darr Hai Aiye Mere Chaaragar,
Ye Chiraag Tu Hi Bujha Na De
 
Mujhe Aiye Chhod De Mere Haal Par,
Tera Kya Bharosa Hai Chaaragar
Ye Teri Nawazish-e-Mukhtasar,
Mera Dard Aur Badha Na De
 
Mera Azm Itna Buland Hai
Ke Paraaye SholoN Ka Darr NahiN
Mujhe Khauf Aatish-e-Gul Se Hai,
Ye KahiN Chaman Ko Jala Na De
 
Woh UtheiN HaiN Leke Hom-o-Subu,
Are O 'Shakeel' KahaaN HaiN Tu
Tera Jaam Lene Ko Bazm MeiN
Koi Aur Haath Badha Na De!




No comments:

Post a Comment