Safar ki had hai wahan tak ke kuch nishan rahe
Chale chalo ke jahaaN tak ye asmaan rahe,
Ye kya uthaye qadam aur aa gai manzil
Maza to jab hai ke pairoN meiN kuch thakaan rahe
Wo shakhs mujhko koi jalsaaz lagata hai
Tum us ko dost samajhte ho phir bhi dhyan rahe
Mujhe zamiN ki geharaiyoN ne daab liya
MaiN chahata tha mere sar pe asmaan rahe
Ab apne beech marasim nahi adawat hai
Magar ye baat hamare hi darmiyaan rahe
Magar sitaroN ki fasleiN uga saka na koi
Meri zamiN pe kitne hi asmaan rahe
Wo ek sawal hai phir uska samana hoga
Dua karo ke salamat meri zabaan rahe
No comments:
Post a Comment