waiz4u Shayari: Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-e-gazal..Aslam Sabri expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Sunday, October 26, 2014

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-e-gazal..Aslam Sabri

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Aiye Jaan-e-gazal
Log Tufaan Utha Deinge Mere Saath Na Chal

Pehele Haq Tha Teri Chahat Ke Chaman Par Mera
Pehele Haq Tha Teri Khushbu-e-badan Par Mera

Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi
MaiN Tere Gesu-o-rukhsar Ka Haqdar Nahi

Ab Kisi Aur Ke Shano Pe Hai Tera Aanchal
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal…….

MaiN Tere Pyaar Se Ghar Apna BasauN Kaise
MaiN Teri Maang SitaroN Se SajauN Kaise

Meri Kismat MeiN Nahi Pyaar Ki Khushboo Shayad
Mere HaathoN Ki LakeeroN MeiN Nahi Tu Shayad

Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal
Log Tufaan Utha Deinge Mere Saath Na Chal

Mujhse KehtiiN HaiN Ye Khamosh NigaheiN Teri
Meri Parvaaz Se Oonchi HaiN PanaaheiN Teri

Aur Gairat-e-ehsaas Pe Sharminda HooN
Ab Kisi Aur Ki BahoN MeiN HaiN BaheiN Teri

Ab Kahan Mera Thikana Hai KahaN Tera Mahal
Log Tufaan Utha Deinge Mere Saath Na Chal.



No comments:

Post a Comment