waiz4u Shayari: Wafa Ko Aazmana Chahiye Tha---Rahat Indori expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Monday, October 27, 2014

Wafa Ko Aazmana Chahiye Tha---Rahat Indori

Wafa Ko Aazmana Chahiye Tha Humara Dil Dukhana Chahiye Tha
Aana Na Aana Meri Marzi Hai Tumko To Bulana Chahiye Tha
 
Humari Khwahish Ek Ghar Ki Thi Use Sara Zamaana Chahiye Tha
Meri AankheiN KahaaN Nam Hui Thi Samandar Ko Bahana Chahiye Tha
 
JahaaN Par Panhuchna MaiN Chahta HooN Waha Pe Panhuch Jana Chahiye Tha
Humara Zakhm Purana Bahut Hai Chargar Bhi Purana Chahiye Tha
 
Mujhse Pehle Wo Kisi Aur Ki Thi Magar Kuch Shayrana Chahiye Tha
Chalo Maana Ye Chhoti Baat Hai Par Tumhe Sab Kuch Batana Chahiye Tha
 
Tera Bhi Shaher Me Koi Nahi Tha Mujhe Bhi Ek Thikana Chahiye Tha
Ke Kisko Kis Tarah Se Bhoolte HaiN Tumhe Mujhko Sikhana Chahiye Tha
 
Aisa Lagta Hai Lahoo MeiN Humko Kalam Ko Bhi Dubana Chahiye Tha
Ab Mere Saath Rah Ke Tanz Na Kar Tujhe Jaana Tha Jaana Chahiye Tha
 
Kya Bas Maine Hi Ki Hai Bewafaai Jo Bhi Sach Hai Batana Chahiye Tha
Meri Barbadi Pe Wo Chaahta Hai Mujhe Bhi Muskurana Chahiye Tha
 
Bas Ek Tu Hi Mere Saath MeiN Hai Tujhe Bhi Rooth Jana Chahiye Tha
Humare Paas Jo Ye Fan Hai Miya Hume Is Se Kamana Chahiye Tha
 
Ab Ye Taaj Kis Kaam Ka Hai Hume Sar Ko Bachana Chahiye Tha
Usi Ko Yaad Rakha Umar Bhar Ke Jisko Bhool Jana Chahiye Tha
 
Mujhse Baat Bhi Karni Thi Usko Gale Se Bhi Lagana Chahiye Tha
Usne Pyaar Se Bulaya Tha Hume Mar Ke Bhi Aana Chahiye Tha
 
Tumhe ‘Satlaj' Use Pane Ke Khatir Kabhi Khud Ko Gawana Chahiye Tha! 
 
 
                                                                                              Rahat Indori
                     
 
 
 
 

No comments:

Post a Comment