YuuN Hi Besabab Na Phira Karo,
Koi Shaam Ghar Bhi Raha Karo,
Wo Ghazal Ki Sachchi Kitaab Hai, Use Chupke Chupke Padha Karo
Koi Haath Bhi Na Milaayega,
Jo Gale Miloge Tapaak Se
Ye Naye Mizaaj Ka Shehar Hai
Zara Faasle Se Mila Karo
Jo Gale Miloge Tapaak Se
Ye Naye Mizaaj Ka Shehar Hai
Zara Faasle Se Mila Karo
Abhi Raah MeiN Kayee Mod HaiN,
Koi Aayega Koi Jaayega
Tumehin Jis Ne Dil Se Bhula Diya, Use Bhoolne Ki Dua Karo
Koi Aayega Koi Jaayega
Tumehin Jis Ne Dil Se Bhula Diya, Use Bhoolne Ki Dua Karo
Mujhe Ishtihaar Si Lagti HaiN
Ye MuhabbatoN Ki KahaaniyaN
Jo Kaha NahiN Wo Suna Karo,
Jo Suna NahiN Wo Kaha Karo
Ye MuhabbatoN Ki KahaaniyaN
Jo Kaha NahiN Wo Suna Karo,
Jo Suna NahiN Wo Kaha Karo
Kabhi Husn-e-PardanashiN Bhi Ho Zara Aashikaana Libaas MeiN
Jo MaiN Ban Sanwar Ke KahiN ChalooN,
Mere Saath Tum Bhi Chala Karo
Jo MaiN Ban Sanwar Ke KahiN ChalooN,
Mere Saath Tum Bhi Chala Karo
Ye Khizaa Ki Zard Si Shaal MeiN, Jo Udaas Ped Ke Paas Hai
Ye Tumhare Ghar Ki Bahaar Hai,
Ise AansuoN Se Hara Karo
Ye Tumhare Ghar Ki Bahaar Hai,
Ise AansuoN Se Hara Karo
Bashir Badr
No comments:
Post a Comment